Aaj jub yai jumla mein apny bhanjay k mun sai sunti hun tou
sochti hun k yai jumla takreban school janay walay har bachay k mun per hota
tha k yai subha kiun hoti hai.or jub mein (graduation level)per agayi hun tou
yai jumla bolny ka dil krta hai per afsos ab na meray bachpan k woh din hain na
woh roshan subah hai or na woh school hai.mujhay aaj bhe yaad hai ami humain
subha jaldi utha daiti the tou hum sub k mun per yai jumla hota tha k yai subha
kiun hoti hai abhe tou hamari tou neend bhe pori nhe hui likin phr bhe uthna
parta tha or us waqt school k naam sai nafrat ho rhe hoti the.har ghari intezar
hota tha k kb khatam hoga school kb jaan chootay ge school sai.Or aaj jb school
khatam hogaya hai tou dil krta hai k waqt wapis peechay chala jayai or mein phr
sai choti hojaun phr sai school ja sakun usi tarah assembly mai kharay hokr
tarana parhun,pehly ki tarah (1st seat)per baithny ki zid karun
pehly ki tarah hum dostain(break)ka intezar karay jhoolay jhoulny k liye.pehly
ki tarah (line)mail g kr intezar karain chutti ka.phr ghar akar school ka kaam
karain.per…..afsos gaya waqt wapis nhe ata.or aaj iss masrufiat bhari zindage
mai school k din,school ki sharartain yad karo tou ehsas hota hai k kitna acha
waqt guzar chukka hai.or jub waqt hath mai tha tou yai jumla yad tha k yai
subha kiun hoti hai.
Shyd kisi nai sahe kaha hai “jee lo yai haseen lamhy kia pta phr yai lamhy
mily na mily”.or waqai yai lamhy
phr kbhe nhe milty.aaj hum log roz subha uththy tou hain likin pehly ki tarah
woh nazary nhe rahay .woh nazary jub hum behan bhai school janay k liye uththy
thay (uniform) pehan kr tyar hoty thay phr sath mil kr nashta krty thay,ami ko
Allah hafiz keh kr ghar sai nikalty thay rastay sai phool chunty huay school
jaty thay.koi dark hoof nhe hota tha k ghar sai ja rhy hain kia pta phr ayain
na ayain jaisa aaj k waqt mai hogaya hai dehshatgardi ki wajah sai.
Or aaj jub waqt apny aap ko meray bhanjy ki shakal mai
dohra(repeat) rha hai tou mujhai rashk ata hai usay daikh kr k kitna acha waqt
woh guzarny ja rha hai kitna acha waqt
shuru hony jar ha hai uska.or aaj meray pass siwayai rashk krny k or un haseen
yadun ko yad krny k siwa kuch bhe nhe hai.
No comments:
Post a Comment