Wednesday, 25 April 2012

Ramzan Aik Tohfa....:)

Ramzan sharif ka mahina tamam musalmano k liye Allah Ta'ala ki taraf se aik haseen tohfa h k is mahinay me puri duniya k musalman aik jama'at ki trah Allah Taa'la  k liye rozay rakhte hain. Ramzan Sharif ki khushiyan he alag hoti hain. Subah sawairay se he har ghar me ronaq lag jati h, sehri ka baqaida ahetmam kia jata h phir sab ghar wale aik sath beth kar Bismillah se sehri ka aghaz karte hain or fajar ki namaz bhi taqriban sab he aik sath ada karte hain or namaz k bad ghar ghar me tilawat-e-Quran pak shuru ho jati h phir pora din tamam musalman apne nafs pe qabu rakh kar khane pinay or tamam buraiyon se khud ko door rakhne ki koshish karte hain time pe tamam namazen ada karte hain or phir sham se he hr ghar me aftari ki tayari shuru ho jati h or aik bar phir aftaar k waqt pora gharana aik sath beth kar roza kholne ka intizar karta h or phir ba awaz e buland roza kholne ki dua parh k roza aftaar kiya jata h or amooman zada tar musalman roza kholne k liye khajoor ko he tarjeeh dete hain. Phir Maghrib ki namaz parhne k thori dair bad se he traveeh ka ahetmam shuru hojata h or ramzano me to ibadat ka sawab bhi do guna kar diya jata h or phir ramzan k akhiri ashray me boht se musalman Aitakaf me beth jate hain or jo aitakaf me nahi bhi beth patay wo taaq raaton me jaag kar ibadat karte hain. Bus Ramzan ki to ronaq he alag hoti h k poori dunya k musalman aik jama'at ki trah aik he amal kar rahe hote hain or in tamam baton k sath eid ki tayari bhi zoron per hoti h jo ramzan ki khushiyon ko dobala kar deti h yani Ramzan sharif k mahinay me har jaga bs ronaq he ronaq hoti h.......

No comments:

Post a Comment