Friday, 20 April 2012

AB K SAAL

"naya saal mubrak ho'' or hapy new year ki mubarak badai 31 december se hi naye saal ki khushi mai aik dosre ko di ja rahi hti hain.har aik ke hath mai mobile phon or us par taiz chalti ungliya,tamam dosto or cousins ko mousool hote howe sms ,phir raat 12 baje aatish bazi, firing or patakho se naye saal ka istaqbaal.sahil e samandar pe nojawan nasal ki tafree,samandar ki mojo k darmiyan no jawano ki moujai (jinhe kharafaat kahna ziyada munasib hoga).shehar bhar k hotlo mai naye saal ki partiya ,anay wale saalk liye khush gumaniya,umadain,aarzoain,garz wo sab kuch jo kisi tarha hamai or hamari tahzeeb ko zaib nahi daita,or hamara mazhab bhi iski ijazat nahi daita.
naya saal kiya hai?hindso mai tabdeeli?kal 2011 tha to aj 2012 haior kal 2013 ho jayega.awal to musalmano ke naye saal ka aagaz january se nahi balke muharam ul haram ke muqadas mahine se hota hai.lekin agar hum ne naye saal ka agaz kar hi liya hai to phir hamai apne afkaar ,khayalaat,amaal , kirdaar or aamal mai tabdeeli lani hogi.ye kiya k din tareekh mahine to taizi se guzar rahe hain ,lekin hamare qoul o fail or din rat ki mamolaat mai tabdeeli nahi aa rahi.warna to jis tarha zindagi k pichle kai mah o saal guzar gaye isi tarha aane wale kai saal bhi guzar jainge.hami ye naya saal usi waqt mubarak sabit hosa jab hum iski ibtida patakho ,goliyo se nahi,balke nai umeedo ,aarzowo  or naik taman nao k sath karainge,apne andar aik nai umang paida karaige.apne liye ,deen ki sir bulandi k liye,mulk ki taraqi k liye,aik jazbe k sath kharay honge.kuch aisa kiya jaye k saal guzarne k baad pachtawa na ho,balke naye saal ki aamad zindagi mai jagmagahat paida kar dai,phir yaqenan hindso ki tabdeeli mubarak sabit hogi.
har guzarta din is itmenan se guzre k han aaj mai ne apne andar ye misbat tabdeeli lane ki koshish ki or aj main ne ye acha kaam kiya.paishmani k bajai sur khuroi ho k zindagi k in mah o saal mai jo Allah ki taraf se hamare liye amanat hain,hum is mai kayanat k murtakib nahi hoe.balke apne watan ki taraqi k liye auk qadam agay barhe hain.tab to ye naya saal hamare or hamari qoum k liye taraqi ki rah par gamzan hone k liye sabit hoga.or hum dunya bhar mai sir utha kar jeenay k qabil ho sakainge

No comments:

Post a Comment