Saturday, 21 April 2012

GAIR MAZHABI TAHWARO KA RUJHAAN

aik hindu ne eid manai,aik yahidi ne ramzan ke  rozay rakhe,
kiya ye jumle kabi apki samato se takraye ya ap kabhi in jumlo ki sadaqat par yaqeen karaingi?.................... nahi kabi nahi jabke agar ye kaha jaye k aik musalmaan ne new year manaya,mbasant manaya, ya valantainy manaya to is par koi bhi ankh band kar k yaqeen kar lega.
hum musalmaan jin k pas aik mukamil zabta hayat  mojoud hai .na sirf zindagi guzarne ka bahtreen tariqa mojood hai bal ke aik muhazib or shaista nizaam bhi moujood hai.phir afsoos ki baat to ye hai k hum gairo ki taqleed karne ko un ke tahwaro  ko manane ko boht fakharya kaam samajne lage hain.kahi aisa na ho k hamari anay wali naslai  apnne qoumi or mazhabi tahwaro ko bhool kar gairo k tahwaro ko hi apna samajne lagain.or y aik musalim haqiqat hai k jin qoumo ne  apne waqar or saqafat ko bhula diya wo qomai kabhi taraqi nahi kar pai. or hamasha gulami ki zanjeero mai jakri rahi.
jaise aam mushahade k mutabiq 14 febuary bhi aik aisa hi dain hai jis mai hamare mulk ki larkiya gair muhazib sirgarmiyo mai paye jate hain.jo na sirf hamari tahzeeb ke khilaf hai balke sarasar waqt ka ziya hai.hamare mulk ko abhi jin mushkilaat ka samna hai unki tajweez k liye zarori hai k no jawan nasal shaoor se aagahi hasil kare or waqt ki qadar ko samjain.in fuzool rasoomat mai par karwaqt ko gawana be aqli ka saboot hai. har ze sha pakistani par ye zimedari aaed hoti hai ke wo mulk mai gair muslim tahwaro k barhte howe rujhaan ke khilaaf aawaz uthaye.kiunke aise rujhanat nojawan nasakl ko bar badi ke dahane par la khara karte hain. 

No comments:

Post a Comment