Pakistan Women Cricket Team jo bohot se mawaqon pe shandaar performance ka muzahira kar chuki hai, qoum ko ASIA CUP ka tohfa de chuki hai, world cup qualifier hai, jagah jagah apna aap manwa chuki hai to phir Pakistan Women Cricket Team, Pakistan me he itna pichay kyun???
Shahid Afridi aik sixer bhi laga de tou pooray mulk me wah wah ho jati hai jab kay Women Cricket Team me poori poori centuries banane kay bawajud women player appreciation nahi milti, kyun? Umar Gul aik inning me 2 wickets bhi le le tou pooray mulk ka hero ban jata hai jab kay women player apni anthak mehnat kay bad shandaar balling ka muzahira kar kay match ka naqsha he palat de or trophy Pakistan kay naam kar de tab bhi uska naam kisi ko pata nahi chalta, kyun? Pakistan Man Team uchay tuchay match bhi jeet le to itne itne mahino tak team k gun gae jatay hain jab kay Pakistan Women Cricket Team ne ASIA CUP ki trophy se Pakistan ko nawaza us kay bawjud kahin un players ko Pakistan Women Cricket Team ko upar nahi laya gaya or kuch din me he Asia Cup ka naam tak bhula diya gaya, kyun? Kia kisi ko Pakistan Women Cricket Team ki players ka naam tak pata hai? Kia saari publicity, saari appreciation or yahan tak kay sara paisa bhi bus Man Players kay liye hai? Itni mehnat kay bawjud Women Cricket Team ko us kay huqooq kyun nahi diye jatay? Unhe publicity kyun nahi milti, appreciation kyun nahi milti, media un kay tamam matches ki live coverage kyun nahi deta, government is matter pe notice kyun nahi leti or tou or hum khud apni Pakistan Women Cricket Team ko support kyun nahi karte, kyun? Kia wo loug izzat ki, tareefon ki or Legend qarar diye jane ki huqdaar nahi???

han yar women cricket team ko b recognization mlni chahiye...
ReplyDeleteexactly yr
Deletebilkul Warda hum bi buhat ache player hy har field me apne apko manwa chuke hy tu is field me hum international level pe ku ni khelte
ReplyDeletekyun k governmant he support nhi krti...
Deleteexactly... women players ko bhi itni publicity or rights milne chaye....
ReplyDeleteyes our goverment should hve to do some thing for women cricket team cox they are also our part nd they also do same hard work like mens team so why do not we do some thing for them
ReplyDeletebs publicity or sponsors ki waja sy hain aisa men team k pass bht sponsors hain
ReplyDeletei agreee
ReplyDeletewah warda wah
ReplyDeletebilkul sahi kaha yaar tm ne even hm log khud bhi agar women match a raha ho to bhi nhe dekhna pasand krtay
yar waqai ye bht hi important blog hai
i really like ths :)
Hajra Ghori ... aaj say dakhna start ... but yarr lala tou phr lala hai..:P
ReplyDelete