Saturday, 21 April 2012

21wi sadi ka sciencei ashiq:


21wi sadi ka sciencei ashiq:
Dear Pascal!
Jab se tu juda houi ho yeh Spherical duniya maray liya solid geometry ban gai hai.Mai ne tumhay apni puri frequency k sath sadayn di magar shayad
Tumharay dil ki wire mai vibration nahi houi. Hamari judai ka time period kuch ziyada hi increase ho gaya hai.mujh ko tu yeh bhi maloom nahi k vertical plane per houa yeh horizontal plane per.mainay tum ko angle per discover karnay ki koshish magar afsos sad afsos k tum mujhay kisi focus per na milay.mai ne tumay har plane per talash kiya yeh tak k atoms bal k neutrons,protons aur electron ko bhi nahi chora.
Ajj kal tumhari yaad chemistary lab mai itni satati hai k heart chahta hai fori tor per large scale per chlorine gas sungh kar apna end karlu, aur wo tumhari magnetic ankh, spherical gal, parabolic hount,rays jasi bhaway,tumhari ankho ki rays agar kisi homosapiean per paray tu wo qurban ho jay. In ki heart beat mai 10% izafa ho jay jab betay dina ki yaad atti hai tu magar yej defficit kisa? Ab tumhara heart q above freezing point ja kar solid ice ban gaya hai. Jo kabhi H2o ki traha transparant tha. Ab translucent sa q ho gaya hai pehlay hum dono k darmiyan love bond tha ab wo likw pole k repulsion mai hai. Kiya tumhay yaad hai k tum ne ek martaba meray love ka confirmatory test liya tha jo k meray liya surprise nahi tha q k mai tumhari ankh k cornea per is ka real image dekha chuka tha. Is test ki intensity bouth light mili thi magar ab tu yeh batay yaado k samundar mai asay dissolve ho gai hai jasay Nacl,H2O mai dissolve hopta hai ab maray pass ICE(kinetic energy) nahi hai k mai tumharay pass aa saku albata potential energy zaroor hai tum neutron k low of motion se maray pass ajao agar tum ne meri is tajwz ko reject kiya tu mai physics lab mai ja kar Modulus young`s ka wire lay kar apni sh rag ki dissection karloun ga. Ani mumkin hai k is waqat physic ki lab mai pratical ho raha ho tu foran canteen ja kar 25 rs wala roll lay kar aur sath hi cooler ka boiled pani p kar apni life qurban kardoun ga aur phir tumhay bio ki lab mai is naqli skeleton ki jaga mayra hi skeleton nazar ay ga apni real aur magnified mohabat ka is se bar kar koi proof nahi day sakta.
                                                                                             Regards
                                                                             Jadeed dor ka sciencei ashiq

No comments:

Post a Comment