Tuesday 24 April 2012

Na Ahel Hukumat.... Zimedaar kon???

Aaj kal jisay dekho hukumat k khilaf bolta nazar ata h or zahir h is hukumat ne akhir hamen dia he kia h jo is hukumat ki tareef me kuch kaha jae. Corruption, loadshedding, mehngaii, ghurbat, sab kuch he to barhta ja raha h magr hamari hukumat koi notice nahi leti, koi pursaan-e-haal h he nahi bs jo bhi hukumat me ata h usay apni jaib bharne ki fikar lagi rehti h or Pakisatn me to nizam he ulta h saray jahil politics me ajate hain or saray parhay likhay samajhdaar log politics se door rehne cahate hain to bhaee phir tabdeeli ae to kese ae? Or wese bhi kon kehta h k Pakistan me jo kuch ho raha h wo hukumat ki ghalti h???
Allah taala ne Quran Pak me wazeh alfaz me irshad farmaya h
 "Jo qoum burai me ghir jati h me us qoum per bura hukumaran musallat krta hun"
Yani burai pehle awam me ati h usk bad saza k tor per us qoum per kharab hukumauran musallat kar dia jata h. Hum kyun chate hain k hamari hukumat achi hojae, hamen achay hukumaran. Aray bhaee kese mil jane?
Pehle hum apna ahtasab to kaen k hum kia karte phir rahay hain maslan hum traffic ki shikayat karte hain k yahan traffic boht hota h. boht badnizami h jiski wja se accidents boht common hogae hain, magr traffic me badnizami ki waja kon h? Hum khud.... jahan koi lamba cut hota h hum wahan se wrong le lete hain k itna lamba chakkar kon katay, jab ji chata h roads ka or traffic ka khayal kye bagher gari kisi bhi tarf ghuma lete hain, signals pe rukne me hamen mout ati h, traffic controller k isharay pe hum nahi rukte or abto jaga jaga pedistal bridges hone k bawjud hum road se he chalte traffic me road cross karte hain yani hum khud kisi rule ko follow nhi karte to traffic me badnizami to hogi na, accidents to aam honge na to phir iski shikayat hum kisi or se kyun karte hain k koi dekhne wala koi puchne wala nahi h.....
Taleem ka nizam tak to humne khud bigaar k rakh dia h, wo taleem jis k zor pe qoumen taraqqi karti hain us tak me to ghapla karte hain hum, Bs jo jitna maaldaar hota h wo apne bachon ko us hisab marks dilwa deta h or mutadid jagahon pe to examination hall ka manzar he alag hogaya h k ap usi waqt bs examiner ko 200,500 pakra do to wo end tak khamosh betha rahega balkay boht se mokon per apki madad bhi kar dega in he harkaton ki waja se jo deserving hote hain wo pichay reh jate hain or jo bilkul nill hote hain wo thaat se numbers le kr beth jate hain. Yani sahi mai'nay me jo taleem hasil karta h wo qoum ki taraqqi or bhalai k lye agay aa he nahi pa raha to phir taraqqi kyun kar mumkin ho tabdeeli kese ae? Is k zimedaar hum log hain kyun k rishwat to hamare he hathon se agaya ja rahi h na, hukumat to hamare bachon ko achay marks dilwane k lye rishwat nahi de rahi na, ghapla to hum khud karte hain na???
Jhoot hamari qoum me agaya h, gheebat hum dat kar karte hain, chori daketi hamari qoum me aam hogai, Insani jaan k agay chund hazar rupay ki ahmiyat barh gai, orton ki izzat hamari qoum se mit gai, sara adab lihaz he to hum mita bethay hain or to or aik haliya survey me pata chala h k sab se zada fahesh websites istimal karne me Pakistan pehle number per h yani hum to Allah ko he bhula bethay hain, Quran pak se door ho chukay hain, khof-e-khuda mit gaya h hamare dilon se to phir jab hamare saray he aamal kharab hogae hain hamari rooh tak maili ho chuki h to phr hum ye kyun chate hain k hamen achay hukumaran mil jaen, hamari hukumat achi hojae...
Kia itna sab kuch karne k bad bhi NA AHEL bs hamari hukumat h??? or hukumat he NA AHEL h to iska zimedaar kon h???

29 comments:

  1. hmmmmmm..... you are absolutly right miss warda...! yhn hum khud theek nhn hennn... hum srf dusro ko bura bhala kehte hen mgr khud apne gireband me jhank ke nhn dekhte k hum kia karae hen....!

    ReplyDelete
    Replies
    1. han ye he to almiya h ab... koi khud ko nahi dekhta... :(

      Delete
  2. yes nashit u r ryt
    1st we have to improve our self then every thing will be fyn

    ReplyDelete
    Replies
    1. offcourse beta, v have to work out in a positive way to make ourself positive...

      Delete
  3. na ehl hukumat he hai, hum nahi
    hamari qaum boht masoom hai, jo roti, kapra, makaan k chakkar main azmaye huon ko azmati hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. yar ayesha kesi bat kar rhi ho tm???? me yahan koi gvt ki favor nahi le rhi gvt bashak boht boori h but hmen kharab leaders hmare he kartooton ki wja se mil rhe hain yr ye saza h hmariiii,,,

      Delete
  4. hIdDen souRcE iS ReSpoNsIblE fOr iT...

    ReplyDelete
  5. & i ThInK u KnoW WhO i Am POIntInG At.. & thEy hAVE dEcIdEd whOz GoNna rUlE OvEr hErE neXt 100 yEArs..

    ReplyDelete
    Replies
    1. yr im getting ur point but i thing u r not geeting my point, i agree that some1 else is ruling, but i just wanna say that whatever is happening it is just because of us us, as a punishment, because it is mentioned in Quran Pak yr

      Delete
  6. iLlUmInAti iS rEsPonsiblE ...

    ReplyDelete
    Replies
    1. hmmm what can say now.... well every1 has thier own opinions :)

      Delete
  7. han koi apne apko nai dekhta bs ilzam lga deta hai....

    ReplyDelete
  8. firsly we should improve our self

    ReplyDelete
  9. warda ap thik khe rahi ho humen hi thik ho na hoga

    ReplyDelete
  10. very well written yar btw hum awaam hi hain is sab k zimedaar............

    ReplyDelete
  11. me totally agree hu k agr hum dusro per blame krne k bajay khud ko thora sa change krne ki koshish kare to bht kuch bdal sakta hai..

    ReplyDelete
    Replies
    1. sahi bat h yar.. agar tabdeeli lani h to shuruat kapne aap se karni hogi

      Delete
  12. we are responsible for every situation which we are facing here in pakistan.but itz not only our mistake by the way..coz our govt. has to create those situation here that involved alot ov pakistani in crimes,suicide,target killings,terrorism and many horrible sins.

    ReplyDelete
    Replies
    1. beshak neelma... mene agr ye bat kahi h that v r responsible, then it doesn't mean that im supportin gvt, no not at all..
      actually mra point ye h k yr gvt kharab h, gvt koi action nahi leti, gvt be his h, mgr ye gvt hamen saza k tor pe mili h q k hamare apna aamal achay nahi. hamari awam ikhlaaq se itna gir gai tabi hamen saza k tor pe aesi gv mili

      Delete
  13. we all are responsible ....

    ReplyDelete
  14. agree wth neelma k kuch to hm hn zimmedar lekin dekho govt. ka bhi kuch hissa hota hai
    wo kuch aisya iqdamat kr sakti hai js se situation sudher jae bt they r not intrsted in developing Pakistan bt in ...........

    ReplyDelete