Aaj sai kuch arsa
pehly tk jub kitabun mai yai jumla/mahawra parhti the tou samajh nhe
pati the k kia matlab hai is jumlay ka.likin mojuda halat mai mujhai is jumlay
ka matlab bhe samajh agaya or us shacksiyat ka bhe pta chal gaya jin per yai
jumla fit baiththa hai.or woh shacksiyat
or koi nhe humary pyary sadar ASIF ALI ZARDARI sahib hain kiun k Benazir sahiba
ki dor-e-hakumat mai sadar sahib unky sath tou zarur hoty thay likin halat aisi
na thi jaisi aaj hai us waqt sadar sahib ka kaam sirf Benazir sahiba k sath
sath chalny ka hota tha or Benazir sahiba ko hokum sadir krty huay daikhna.phr
halaat nai palta khaya or badqismati sai BB ka intiqal hogaya.or istarah BB ki
wazarat ASIF ALI ZARDARI k pass chali gayi or aaj dakhiye humary sadar sahib BB
k asasun(property )k sath sath is mulk k bhe malik ban kr baithay hain.kbhe
kisi nai socha bhe nhe hoga k jail ki
salakhun k pechay zindagi basar krny wala shacks kbhe is mulk or is mulk ki
awam per hukumrani kary ga.shyd aisay
waqtun or moqun per log kehty hain k
“WAQT SAI PEHLY NHE OR
NASEEB SAI ZYADA NHE”
Kiun k is sai pehly hamary sadar sahib MR.10% k naam sai
janay jaty thay or aaj woh MR.100% ban gayai hain or sadar sahib MR.100% kiun
or kaisy hain? Yai hum sab janty hain.zahir si baat ahi bhai jub apny hi mulk
ki mazlum awam per (taxes)ki bharmar karain gy Ata, Chini,petrol mehanga karain
gy awam ko kangal karain gy tou MR.ASIF ALI ZARDARI sahib MR.100% k naam sai
janay or pechany jayain gy na!!!!!likin mein kbhe kbhe sochti hun k 10% sai
100% tk ka safar krny walay humary sadar sahib agar apna yai dimagh PAKISTAN or
iski awam ki ki behtari k liye istimaal kr laity tou aaj shyd hamara watan -e-
aziz ko bhe woh izat or maqam hasil ho jata jiska woh haqdar hai.likin afsos
humary yai sadar sahib bhe or hukumranun ki tarah nikaly ji janay sai pehly
mulk or awam ko kangla kr k jaty hain taky nayi hakumat qarzun k bojh talay dub
jayai.shyd humary sadar sahib bhe yahe maqsad(aim)lai kr ayai hain or ab is
maqsad ko pura krny k liye har mumkin koshish kr rhy hain.jis mai woh kafi had
tk kamayab bhe hogayai hain waisay daad daini paray gi sadar sahib ko kiun k is
mulk ki awam taraki hasil krny k liye apni puri zindage laga daity hain phr
kahin jakr un ka shumar (high class)logun mai hota hai likin hamary sadar sahib
nai bht hi kum arsay mai taraki ki manzilain charh gayai.or aaj woh is mulk or
awam k malik banay baithay hain shyd isi liye aisay waqtun or logun k liye yai
jumla bary borhay keh gayai hain k
“ WAQT SAI PEHLY
NHE OR NASEEB SAI ZYADA NHE”
No comments:
Post a Comment