Sunday 22 April 2012



ALLAH KI MARZI KE AAGE SAB BEBAS HAIN


Hum duniya ki rangeeniyon mai masroof hoke aik aisa sach bhuljate hain jab woh humare aankhon ke saamne aata hai to humain yaad aata hai ke Han duniya aik arzi jaga hai jana to humain us ALLAH ke pass hi hai. Hum bohut saari planning karke beth jate hain ke hum jab kuch hasil karlainge to hum yeh bhi karainge hum who bhi karainge mager humain ye yaad rakhna chahiye ke ALLAH KI MARZI KE AAGE SAB BEBAS HAIN. Sabse mushkil waqt wo hota hai jab aapke sath aik insan ne zindagi ke aise pal bante hun jinhain aap bhula hi na paain, aap jante hun us insan ne aapke mushkil waqt main aapka sath diya bachpan se leker barey hone tak har cheez main aapki madad kari. Woh lara bhi aapke sath, shararton main bhi aapke sath sath raha, aur bht saarey pal jismain uska bht bara hissa raha ho. Humari zindagi yun bhi palat jayegi us aik shaks ke chaley jaane se  hum sochte hi nahi hain bas sochte hain to apne baarey main us zaat ke baarey main nahi ke agar hum is duniya main aaye hain to hum thora sa waqt us zaat ke liye nikal sakte hain. Jab hum duniya ke har kaam karsakte hain to ALLAH ki ibadat kiun nahi karsakte, kabhi nahi sochte. Humain phir bhi woh zaat maaf kardeti hai beshak ALLAH SABSE BARA HAI AUR KARAM KARNE WALA HAI. 


No comments:

Post a Comment