Saturday 21 April 2012

Influence of english in urdu


“Influence of english in urdu”

        Uroos-e-fikar koi hum qaid se azad kartay hain
     Naya mazmoon,naya rang,sukhan ijad kartay hain
Is shair k mafhoom k mutabiq ek blog likh rahi hoon. Amm zindagi mai zuban ka kiya role hai?? Zuban na sirf communication ka zarya hai balkay qumo ne apni zuban hi ki badolat tariqi ki hai aur hamasha apni national language ko hi prefrence di hai jesa k chinese, english etc. agar Pakistan ki national language ko dekha jay tu yeh ek almia se kam nahi k urdu zuban zawal ka shikar hai aur meri observation k mutabiq next ten year mai urdu bolnay walay kam hi nazar ayn gay. Q k hum per english bolnay ka bhoot sawar hai ek uneducated admi bhi app ko englishk do char alfaz apnay taray meray andaz mai bolta houa nazar ayga.
Ajj kal tu kisi ki qabliyat ka andaza bhi is baat se lagaya jata haik wo english k kitnay word apni urdu language mai bolta hai. Is ki sub se bari waja yeh hai k government ki taraf se urdu ko koi importance aur support hasil nahi haiaur dusri waja hamara mobile phone haijo rahi sahi baqi kasar thi urdu ko bigarnay mai wo is ne puri kardi. Mobile fon ne bouth aham role play kiya hai urdu ko pasti ki taraf dhaklne mai.
Ab tu kuch is tarah ki situtaion ho gai hai k jo log ziyada se ziyada english k words ko use kartay hai wo theek kehrahay hai aur wo bouth educated hain. Is tarah se fnglish improve nahi ho sakti balkay urdu zawal aur pasti ki taraf rawa dawa hai. Hum urdu ki ahamiyat ka andaza is tarah laga saktay hai k urdu ajj kal kitni boli jati hai is ki misal do dosto k darmiyan amm guftugu se lay saktay hain;
Wafa: yar kal tum university nahi ayan.
Saba: han yar kal meri cozn ki birth day thi.
Wafa: saba kal tamam classes houi thi.
Saba: kiya??? Sari classes houi thi acha tum ne mari attendence laga di thi.
Wafa: nahi yar! Kal teachers ne attendence call ki thi.
Saba: chalo khair hai tum mujhay kal k tamam lecture dai day na mai photo copy kara loungi.
Is guftugu se hum easily imagine kar sktay hai k…..
“How much is the influence of english in urdu now a days?”
Mandar ja bala satro mai mai ne khud angrazi ka beja istamal kiya hai taky is se andaza ho sakay k hamari qumi zuban ki haqiqi surat e hal kiya ho gai hai. In do zubana k istaymal se urdu zuban apna waqar kho rahi hai aur ab bhi waqat hai hum apni madri zuban urdu ko zawal pazeer hone se bacha saktay hain. Urdu humari quami zuban hai,humari shanaqt hai is mai humara deeni aur tehzibi sarmaya hai. Ek azad shahri ki haysiyat se humay apni qumi zuban ka har mumkin thafuz karna hai. Dusri zubanay seakhna bura nahi laykin is ko apni qumi zuban per tarjhee dayna bilkul munasib nahi.   
Iqbal ne kiya khoob kaha hai
              Khudi mai doob kar pa ja suragh zindagi
         Tu agar mayra nahi banta na ban,apna tu ban


1 comment:

  1. waqayi mobile fone ne bahot eham "role play" kiya hai aap ki Urdu blog ko English touch deney main..

    ReplyDelete