Saturday 21 April 2012

Chooryan ya hathkarryan....

Chooryan larkyon ko behud pasnd hoti hain.Choti burri hur umar ki larkyan khushi k mouqay per shouq se pehnti hain aur chooryon k sath mehndi ka jour tu buhat he juchta hai .Mehndi waise bhi khushi dikhanay ka ak andaaz hai .agar kisi larki ne mehndi hathon pe lagayi ho tu us se subse pehla yehi sawal pucha jata hai"kisi ki shadi main jarahi ho"?
                    Is duniya main har dusri larki ki ak khwaish zarur hoti hai k woh surkh jorra or chooryan pehan k apne "Dream boy" k sath uske ghar jakar khushyon bhuri zindagi guzarein.wo shuks usay shohar ki surat main naseeb tu hojata hai per uska khwab us waqt chukna choor hojata hai jub wo dusray ghar jati hai or apne khwab ki tabeer ko bhayanak khwab main budaltey dekhti hai.Maa Baap puri chaan been k baad apne jigar goshay ko rukhsat karte hain per phr bhi kahin na kahin kotahi hojati hai  ya yeh keh lay k aj kal har dusray insaan ne naqaab charhaya hua hai jo shaadi honay k baad utar jata hai or aslyat sahi maynon main samnay ajati hai.Jahiaz ki lalach main susral walay in bechari larkyon k baghair sochay samjhay jala dayte hain jo sirf khushiyan bekhairnay kay khwab lay kar inke ghar main aati hai.aj kal larkyon k chehray per is tarah taizab phenka jaraha hai jaise k woh paani hai.khubsurat or masum chehraon ko bigar dayne walun se koi puchnay wala he nahi hai....zara zara se tanazyat pe shohar ka biwi pe tashadud karna aam hogyaa hai...kisi ne sahi kaha hai "ghussa insaan ko kha jata hai" or pul bhur main kiye janay walay faislay umar bhur ka roog bun jatay hain or larkyan jo buri chaht k sath chooryan pehnti thi unahy wo chooryan hathkaryan lagnay lagti hain.in hathkaryoon se  azaad honay ka koi or raasta nahi milta tu yeh larkyan siwaye khudkhushi k or koi raasta nahi apnati....

8 comments:

  1. hmmm ALLAH sb k naseeb achay karay
    or kabhi koi larki apni choriyon ko hrkryan kabhi na smajhay bl k ye chooriyan hamesha us ki khushi ka zamin rahen (Ameen)

    ReplyDelete
  2. han yar waqai bohot na insafi hoti hai aurton k sath...

    ReplyDelete
  3. Allah tamam larkiyon k nasib achay katay

    ReplyDelete
  4. hmmm sbko sochna chaye jb hum kisi larki ko biwi bahu bna k ghr latay hain to shayad ye bhool jate hain k wo bhi insan h kisi ki beti h kisi k jigar ka tukra h... pta nhi hmara muashra, hmari soch kb badlegi...
    Allahtaala sb larkiyon k nasib achay karay Ameen

    ReplyDelete
  5. aameen ...muashray ki burayon ko ache se highlite kiya hai

    ReplyDelete
  6. sAb bAtOOn kI 1 bAAt .iSlAm hAmEy sikhAta hE K aurAt ZAat kI rEsPEcT oR CArE kAro..

    ReplyDelete