Saturday 21 April 2012

PURSAAN E HAAL GOVT SCOOLS

munasib taleem kisi bhi maashray or mulk ki taraqi ki bunyaad hai.mulk ke har shahri ko ibtedai taleem ki farahmi  hukomat ke awaleen faraeez mai shamil hai or isi farz ko pora karne ki garz se givt schools qaeem kiye jate hain lekin bad qismati se hamare mulk k govt schools ki halat na qable bayan hai.
boht afsos k sath ye kahna par raha hai hai is suratehaal ke zimedaar schools mai moujood teachers bhi hain.jo apne ohdo k sath mukhlis nahi paye jate.schools mai taleemi nizam ki kiya surat e haal  hai inhe  is baat se koi sarokaar nahi.mahaz hazri lagane ko or tankhuwahain wusool karne ko wo apna farz samajte hain. agar yehi teachers chahain to apne ohdo k sath pur khuloos ho kar inhi govt schools ka naqsha hi badal sakte hain.or un gareeb no nehalo ko jin ke  waldain unhe mahangi taleem nahi dilwa sakte unhe in schools mai munasib or mayari taleem di ja sakti hai.furniture wagera to saanvi zurorat hai agar taleem hasil karne ki piyas ho or is piyas ko bhujane k liye pur khuloos teachers ho to to taleem to chatayo par baith kar bhi hasil i ja sakti hai isi liye  sap se pahle zarori ye hai k govt schools ki teachers ko unki zimedari ka ahsas dilaya jaye.

No comments:

Post a Comment