Friday 20 April 2012

AWAZ UTHAYE

pahle aastenai half hoi,phir aastenai gaib hoi,phir galay baray hoye phir galy bhi gaib hoye.mai baat kar rahi hon poray shehar mai jaal ki tarha bichay bill boards ki .jin mai models din ba din kam se kam kapro mai dikhai daine lagi hain.kuch ishteharaat to is qadar be hoodgi ka muzahira karte hain k sharam se aankhain jhuk jati hain.t.v or bill boards mai ladies ki khas dino mai istemaal ki jane wali ashya ki numaeesh itne khulay aam ki jati hai k mairi apni 6 saala beti  mujh se kai baar ye sawaal kar chuki hai k "mama ye kiya cheez hai"?or mai bas usay dosri bato mai lagane ki koshish karti hon .jis taizi k sath bill bords par moujood larkiyo k kapre chote hote ja rahe hain najane agay anay wale dino mai inki kiya surat e haal hone wali hai.
hamai ye baat maloom honi chahiye k aik azad shahri hone k natay hamai pemra ki taraf se haq hasil hai k awaam chahe to aise ishteharaat par pabandi lagwa sakti hai jinhe wo napasand karti hai.lekin ye us waqt mumkin hai jab pemra tak hum apni awaz pohchain or inhe aagah karain k hum is tarha maashray mai uryaniyat k faroog ki shadeed muzamat karte hain.
aik muslim maashray  or riyasat mai is tarha k ishteharaat ki bilkul koi gunjaish nahi jin k zarye aurat ki hurmat ko pamaal kiya ja raha hai.dosto hamai  pemra ki taraf se diye gaye is haq ka istemaal karna chahiye.takay aise ishteharat ki rok tham ki ja sake.

No comments:

Post a Comment