Friday 27 April 2012

Bahu Ya Biwi He Kyun???

Aaj kal tou hamare muashray me jo kuch bhi hojae wo kum h. Har tarf bus buraai he buraai bikhri pari h. Qatal-o-gharat, dangay fasad, dhoka dahi, makar-o-farebi sab he kuch to aam h magr in baaton me aik baat meri smjh se balaatar h hamare muashray me jo orat bawarchi khane me jal k marti h wo hamesha ghar ki bahu he kyun hoti h? Goli lagne se halak hone wali biwi he kyun hoti h? Olaad na hone pe saas sirf bahu k liye he kyun azaab-e-musalsal ban jati h? Zara si baat na maan'nay per biwi pe he tezaab kyun phenka jata h?
Misaal k tor pe aik larki ki shadi hui or us larki ki ghalti ye thi k jahez to boht acha laii magr jahez me a.c kyun nahi laii jiski waja se uski saas ne uska jeena dobhar kardia or aik din to saas ka paara aesa charha k us larki ko jala k he khaak kardia,,,, or ronay aese rone ki koshish ki k chand jesi bahu thi kitchen me kam karte hue jal gai,,, to kabhi tmhari beti kyun nahi aag lagi bhaee? bahu atay he chund hafton me he jal gai or mar gai? kese akhir kyun?
Altra sound me larki ki nishaan dahi hone pe shohar ne apni haamla bivi ko goli maar di. Aaj k is dour me jahan sab kuch proof hochuka h wahan shohaor ko ye baat smjh nahi ati k akhir iska zimedaar kon h,,,, maarna tha to apne apko goli maarta na, kisi or ki beti ko kyun qatal kia? Isi trah jahan olad hone me dair hojati h wahan saas k ye uthtay bethtay k ganay shuru hojate hain k dosri shadi kar le, dosri shadi kar le or us bichari larki pe umar bhar ka sokan ka azab daal dia jata h. Kia is mamlay me bhi qusoor sirf orat ka hota h? Mard me koi buraai nahi hosakti kia? Kia kabhi koi orat apni beti ko ye mashfara de skti k beti teri to olad nahi ho rahi apne shohar ki dosri shadi krwa de, nahi de skti na, nahi bardasht kar sakti na apni beti pe itna zulm?? Tou dosray ki laii hui beti pe itna zulm kyun?
Aik or mamlay pe agr nazar doraen tou aik sahab ne apni biwi pe tezaab daal dia k jo mene kaha wo time pe kyun nahi maana?? Bus itni si bat pe aik orat ko tabah kar k rakh dia, zindagi bhar k liye usme bigaar paida kar dia k meri bat maa'nay me dair hui to q hui? Kia kabhi kisi larkay ne apni bahen pe bhi isi wja se tezab dala k han bhaee mene jo kaha wo waqt pe kyun nahi maana,,, nahi na? To biwi per kyun? Or na jane kitne waqiyat jisme se boht se tou manzar-e-aam per aa bhi nahi patay or kuch itne sharam naak hote hain k bataya bhi nahi ja sakta.
Kia kabhi koi maa apni beti ko itni taklif de sakti h? Nhi na? Tou bahu pe itna zulm kyun karti h? Kia kabhi koi mard apni maa, bahen, beti yahan tak k bhanji or bhateeji ko bhi itne azaab me mubtala kar sakta h? Nhi na? Tou biwi ko kyun aesi aziyat deta h? Kia aik bahu ka, aik biwi ka bas itna he maqam hota h jab jii chahay ghar se kia dunya se he nikaal do? Aray agr tm aik bahu ko tasleem nahi kar skti, aik biwi ko dil me apne ghar me jaga nahi de sakte to louta dia karo usay usk piyaron k pas. Aesi bhi kia nafrat k us masoom ki jaan he le li jati h zindagi he tabah kardi jati h jo hazaron sapne ankhon me sajae, un ginat umeeden dil me liye, apne maa baap ka ghar chor k tmhare ghar me khushiyan bikhairne chali ati h, wapis louta dia karo na usay, tumhari na sahi kisi ki to beti hoti h na wo, kisi ki ankho ka tara to hoti h? Itne maan se beti ko saja kar dulhan bana kar piya ghar bhejne wale maa baab ko jab apni ladli beti ki aesi dardnaak mout ki khabar milti h tou socho kesi qayamat guzarti hogi un boorhi haddiyon pe. Khuda k wastay badlo is muashray ko, izzat do apne ghar me lane wali ko, pyar do maa baap ka ghar chor k anay wali ko, asaan nahi hota maa baap ki dehleez chorna samjho is bat ko samjho, akhir kab tak bahu or biwiyan aese dhutkari jaengi? Akir bahu or biwi he kyun????

16 comments:

  1. han yaar iska jawab milna mushkil hai....jahez drama deikhna ....usmain bilkul sahi dhikaya gaya hai...lakeen log us se bhi kuch nahi seekhtay bulkay beth kar drama pe criticize karte hain

    ReplyDelete
    Replies
    1. yr bs sb kuch sab k samne h phr b kahin koi solution nahi h

      Delete
  2. bht bht hi acha hai
    waqai yaar sirf bahu ya biwi hi nishana q bnti hai waqai sochnay wali baat hai
    allah tamam sason ko thori aqal de k bahu ko bhi beti jtna na sahi pr insaniyat k natay hi kuch to maqam diya karen :(

    ReplyDelete
    Replies
    1. han bs Allah sabko rahemdil bnae... k bahu ko b insan smjh lia aje

      Delete
  3. humari society me jo mard hazrat male dominating hote hy unhe aisa krne ka shok hota hy jab ke hum unse ek qadam age hote hy islie jealous rehte hy

    ReplyDelete
  4. nice saying sister
    y sb jahalat ki wajaa se haii jo k hmare mulk m aam hn jiski waja se (biwi,bahu,beti) in per zulm aur na insafii htii haii aur hm bs sunte hn aur kch krtee nh unkee lyee

    ReplyDelete
    Replies
    1. bs yr husbands ko specially apni wife k lye bht supportive hona chaye q k bichari larki apna pora khandan chor k chali ati or agr husband he supportiv na ho to aesa he zulm hota h larkiyon k sath

      Delete
  5. bht acha haI q hOta haI ye sb gIrl k sath hI y?? kOi mOther-in-law q katI haIn ye sb nOt Only mOther-In-lAw pura susral hI aye sa q karta hai???? y ???

    ReplyDelete
    Replies
    1. han koi action lene wala nahi h yahan koi puchne wala nahi h

      Delete
  6. wakai kafi sahi likha hy hamesha bhau ya biwi hi q hoti hy beti k bary me to koi aisa nhi sochta bilkul sahi lakin is bary me khud hamey sochna chaiye :(

    ReplyDelete
    Replies
    1. bilkul thik aqsa.. hamen is hawalay se koi iqdaam uthane chaye

      Delete
  7. yeah true warda...but i think is k lye pakistan govt. ko sakht action lena hoga..jo bhi is qisam k jurm mein shaamil ho usay sakht saza milni chahiye..even haath uthaney per bhi pabandi lagni chahiye jesa k abroad mein law implement hota hy yahan bhi hona chahiye..is situation mein media ko bht important role play karna hoga..warna najaney kab tak eik biwi ya bahu ye zulm chup chaap sehti rahegi..or khudaara larkiyon apney liye khud action lena seekho akhir kab tak chup chaap aisay hi marti rahogi..honestly speaking yahan agar koi eik bhi action lely naa tou wo doosri larkiyon ko himmat desakti hy..lekin ye bht bari laking hy yahan k boltey sab hein lekin action koi nai letaa.

    ReplyDelete
  8. yr neelma basic masla he ye he h orton ko abtk apne rights ka pta he nahi h,,, or agr kabi koi larki bhoolay bhatkay apne upar hone wale zulm k khilaf awaz uthane ki koshish krti h to bht kum he maikay wale hote hain jo beti ko aese me support krden lkn agr thoray nichlay tabqay pe chale jaen to beti ko ye keh kr khamosh krwa dia jata h k dulhan bna k bheja tha ab us ghr se tmhari mayyat he ani chaye :(
    talaq ka daagh nahi lgna chaye... lkn usk bawjud me to ye he kahungi k ye kisi or ka nahi pehla farz larki ka h k apne lye koi qadam uthae

    ReplyDelete