Friday 27 April 2012

Bahu Ya Biwi He Kyun???

Aaj kal tou hamare muashray me jo kuch bhi hojae wo kum h. Har tarf bus buraai he buraai bikhri pari h. Qatal-o-gharat, dangay fasad, dhoka dahi, makar-o-farebi sab he kuch to aam h magr in baaton me aik baat meri smjh se balaatar h hamare muashray me jo orat bawarchi khane me jal k marti h wo hamesha ghar ki bahu he kyun hoti h? Goli lagne se halak hone wali biwi he kyun hoti h? Olaad na hone pe saas sirf bahu k liye he kyun azaab-e-musalsal ban jati h? Zara si baat na maan'nay per biwi pe he tezaab kyun phenka jata h?
Misaal k tor pe aik larki ki shadi hui or us larki ki ghalti ye thi k jahez to boht acha laii magr jahez me a.c kyun nahi laii jiski waja se uski saas ne uska jeena dobhar kardia or aik din to saas ka paara aesa charha k us larki ko jala k he khaak kardia,,,, or ronay aese rone ki koshish ki k chand jesi bahu thi kitchen me kam karte hue jal gai,,, to kabhi tmhari beti kyun nahi aag lagi bhaee? bahu atay he chund hafton me he jal gai or mar gai? kese akhir kyun?
Altra sound me larki ki nishaan dahi hone pe shohar ne apni haamla bivi ko goli maar di. Aaj k is dour me jahan sab kuch proof hochuka h wahan shohaor ko ye baat smjh nahi ati k akhir iska zimedaar kon h,,,, maarna tha to apne apko goli maarta na, kisi or ki beti ko kyun qatal kia? Isi trah jahan olad hone me dair hojati h wahan saas k ye uthtay bethtay k ganay shuru hojate hain k dosri shadi kar le, dosri shadi kar le or us bichari larki pe umar bhar ka sokan ka azab daal dia jata h. Kia is mamlay me bhi qusoor sirf orat ka hota h? Mard me koi buraai nahi hosakti kia? Kia kabhi koi orat apni beti ko ye mashfara de skti k beti teri to olad nahi ho rahi apne shohar ki dosri shadi krwa de, nahi de skti na, nahi bardasht kar sakti na apni beti pe itna zulm?? Tou dosray ki laii hui beti pe itna zulm kyun?
Aik or mamlay pe agr nazar doraen tou aik sahab ne apni biwi pe tezaab daal dia k jo mene kaha wo time pe kyun nahi maana?? Bus itni si bat pe aik orat ko tabah kar k rakh dia, zindagi bhar k liye usme bigaar paida kar dia k meri bat maa'nay me dair hui to q hui? Kia kabhi kisi larkay ne apni bahen pe bhi isi wja se tezab dala k han bhaee mene jo kaha wo waqt pe kyun nahi maana,,, nahi na? To biwi per kyun? Or na jane kitne waqiyat jisme se boht se tou manzar-e-aam per aa bhi nahi patay or kuch itne sharam naak hote hain k bataya bhi nahi ja sakta.
Kia kabhi koi maa apni beti ko itni taklif de sakti h? Nhi na? Tou bahu pe itna zulm kyun karti h? Kia kabhi koi mard apni maa, bahen, beti yahan tak k bhanji or bhateeji ko bhi itne azaab me mubtala kar sakta h? Nhi na? Tou biwi ko kyun aesi aziyat deta h? Kia aik bahu ka, aik biwi ka bas itna he maqam hota h jab jii chahay ghar se kia dunya se he nikaal do? Aray agr tm aik bahu ko tasleem nahi kar skti, aik biwi ko dil me apne ghar me jaga nahi de sakte to louta dia karo usay usk piyaron k pas. Aesi bhi kia nafrat k us masoom ki jaan he le li jati h zindagi he tabah kardi jati h jo hazaron sapne ankhon me sajae, un ginat umeeden dil me liye, apne maa baap ka ghar chor k tmhare ghar me khushiyan bikhairne chali ati h, wapis louta dia karo na usay, tumhari na sahi kisi ki to beti hoti h na wo, kisi ki ankho ka tara to hoti h? Itne maan se beti ko saja kar dulhan bana kar piya ghar bhejne wale maa baab ko jab apni ladli beti ki aesi dardnaak mout ki khabar milti h tou socho kesi qayamat guzarti hogi un boorhi haddiyon pe. Khuda k wastay badlo is muashray ko, izzat do apne ghar me lane wali ko, pyar do maa baap ka ghar chor k anay wali ko, asaan nahi hota maa baap ki dehleez chorna samjho is bat ko samjho, akhir kab tak bahu or biwiyan aese dhutkari jaengi? Akir bahu or biwi he kyun????