Bilaakhir yai meray (assignment)ka akhri blogb hai or is
blog mai mein or kisi chez k baray mai baat nhe karun ge siwayai is chez k
zindage mai pehli baar yai kaam kia or kaisa laga.jub mis AREEBA nai classs mai
humain yai( assignment) dia tou us waqt pori class k mun per yai baat the k
itna mushkil kaam hai kaisy karain gy kia likhain gy waghaira.likin phr humari
miss nai aik achay (teacher )ki tarah samjhaya(guide) k blog kaisy likhty
hain.or mein the dil sai miss ki shukar guzar hun k unho nai humain aisa kaam
krny ko dia kiun k mera dil krta tha k jub bhe likhun khul kr likhun or miss
nai jub humain kaam dia tou mujhay bht khushi mehsos hui kiun k apny saray
blogs likhty waqt mujhay mukamal azadi ka ehsas hota tha.meinay apny blogs k
zariye is mashry mai paida hony walay choty bary maslun per awaz uthayi kiun k
(mass communication)k student hony ki hasiyat sai yai humara haq hai kuch bhe
ghalat hota hua agar daikhain tou usky k khilaf awaz uthayain.apny blogs mai
mainy har woh chez likhi jis sai roz hum log mutasir ho rhy hain ya hoty hain
maslan(for example)mera blog AURAT KO USKA MUQAM KON DILYAI GA mai har who chez likhi
jis sai mein ya meri jaisi or larkiyan guzar chuki hain jaisay aaj kal aik
larki akaili (bus stop)per khari nhe hosakti kiun k akailay daikh kr aurat ko
hamaisha muft ka maal samjha jata hai banisbat kisi k ghar ki izat k.YAI SUBHA KIUN HOTI HAI
is blog mai meinay apny
school ki yadaain likhi hain TALEEM BIKTI HAI mai
jo kuch likha hai woh such likha hai or apni behan ka haal daikh kr
likha hai jub(inter)mai mehnat k bawajud usay number nhe diyai gaya or (board
ofc) shikyat le kr gayai tou unho nai
apni(demand)bta di k itny paisy dai do abhe (result)badal jayai ga.
BUS isi tarah kuch na kuch likhti rhe or aaj mein apny
(assignment) ka akhri blog likh kr khatam kr rhe hun.Aakhir mai apni miss ka
phr sai shukriya karun ge k ap nai itna acha kaam krny ko diya.kiun is kaam sai
mere (typing speed )thori taiz hogayi hai. :)
THANK YOU MISS AREEBA
No comments:
Post a Comment