Friday 27 April 2012

Bahu Ya Biwi He Kyun???

Aaj kal tou hamare muashray me jo kuch bhi hojae wo kum h. Har tarf bus buraai he buraai bikhri pari h. Qatal-o-gharat, dangay fasad, dhoka dahi, makar-o-farebi sab he kuch to aam h magr in baaton me aik baat meri smjh se balaatar h hamare muashray me jo orat bawarchi khane me jal k marti h wo hamesha ghar ki bahu he kyun hoti h? Goli lagne se halak hone wali biwi he kyun hoti h? Olaad na hone pe saas sirf bahu k liye he kyun azaab-e-musalsal ban jati h? Zara si baat na maan'nay per biwi pe he tezaab kyun phenka jata h?
Misaal k tor pe aik larki ki shadi hui or us larki ki ghalti ye thi k jahez to boht acha laii magr jahez me a.c kyun nahi laii jiski waja se uski saas ne uska jeena dobhar kardia or aik din to saas ka paara aesa charha k us larki ko jala k he khaak kardia,,,, or ronay aese rone ki koshish ki k chand jesi bahu thi kitchen me kam karte hue jal gai,,, to kabhi tmhari beti kyun nahi aag lagi bhaee? bahu atay he chund hafton me he jal gai or mar gai? kese akhir kyun?
Altra sound me larki ki nishaan dahi hone pe shohar ne apni haamla bivi ko goli maar di. Aaj k is dour me jahan sab kuch proof hochuka h wahan shohaor ko ye baat smjh nahi ati k akhir iska zimedaar kon h,,,, maarna tha to apne apko goli maarta na, kisi or ki beti ko kyun qatal kia? Isi trah jahan olad hone me dair hojati h wahan saas k ye uthtay bethtay k ganay shuru hojate hain k dosri shadi kar le, dosri shadi kar le or us bichari larki pe umar bhar ka sokan ka azab daal dia jata h. Kia is mamlay me bhi qusoor sirf orat ka hota h? Mard me koi buraai nahi hosakti kia? Kia kabhi koi orat apni beti ko ye mashfara de skti k beti teri to olad nahi ho rahi apne shohar ki dosri shadi krwa de, nahi de skti na, nahi bardasht kar sakti na apni beti pe itna zulm?? Tou dosray ki laii hui beti pe itna zulm kyun?
Aik or mamlay pe agr nazar doraen tou aik sahab ne apni biwi pe tezaab daal dia k jo mene kaha wo time pe kyun nahi maana?? Bus itni si bat pe aik orat ko tabah kar k rakh dia, zindagi bhar k liye usme bigaar paida kar dia k meri bat maa'nay me dair hui to q hui? Kia kabhi kisi larkay ne apni bahen pe bhi isi wja se tezab dala k han bhaee mene jo kaha wo waqt pe kyun nahi maana,,, nahi na? To biwi per kyun? Or na jane kitne waqiyat jisme se boht se tou manzar-e-aam per aa bhi nahi patay or kuch itne sharam naak hote hain k bataya bhi nahi ja sakta.
Kia kabhi koi maa apni beti ko itni taklif de sakti h? Nhi na? Tou bahu pe itna zulm kyun karti h? Kia kabhi koi mard apni maa, bahen, beti yahan tak k bhanji or bhateeji ko bhi itne azaab me mubtala kar sakta h? Nhi na? Tou biwi ko kyun aesi aziyat deta h? Kia aik bahu ka, aik biwi ka bas itna he maqam hota h jab jii chahay ghar se kia dunya se he nikaal do? Aray agr tm aik bahu ko tasleem nahi kar skti, aik biwi ko dil me apne ghar me jaga nahi de sakte to louta dia karo usay usk piyaron k pas. Aesi bhi kia nafrat k us masoom ki jaan he le li jati h zindagi he tabah kardi jati h jo hazaron sapne ankhon me sajae, un ginat umeeden dil me liye, apne maa baap ka ghar chor k tmhare ghar me khushiyan bikhairne chali ati h, wapis louta dia karo na usay, tumhari na sahi kisi ki to beti hoti h na wo, kisi ki ankho ka tara to hoti h? Itne maan se beti ko saja kar dulhan bana kar piya ghar bhejne wale maa baab ko jab apni ladli beti ki aesi dardnaak mout ki khabar milti h tou socho kesi qayamat guzarti hogi un boorhi haddiyon pe. Khuda k wastay badlo is muashray ko, izzat do apne ghar me lane wali ko, pyar do maa baap ka ghar chor k anay wali ko, asaan nahi hota maa baap ki dehleez chorna samjho is bat ko samjho, akhir kab tak bahu or biwiyan aese dhutkari jaengi? Akir bahu or biwi he kyun????

Wednesday 25 April 2012

Ramzan Aik Tohfa....:)

Ramzan sharif ka mahina tamam musalmano k liye Allah Ta'ala ki taraf se aik haseen tohfa h k is mahinay me puri duniya k musalman aik jama'at ki trah Allah Taa'la  k liye rozay rakhte hain. Ramzan Sharif ki khushiyan he alag hoti hain. Subah sawairay se he har ghar me ronaq lag jati h, sehri ka baqaida ahetmam kia jata h phir sab ghar wale aik sath beth kar Bismillah se sehri ka aghaz karte hain or fajar ki namaz bhi taqriban sab he aik sath ada karte hain or namaz k bad ghar ghar me tilawat-e-Quran pak shuru ho jati h phir pora din tamam musalman apne nafs pe qabu rakh kar khane pinay or tamam buraiyon se khud ko door rakhne ki koshish karte hain time pe tamam namazen ada karte hain or phir sham se he hr ghar me aftari ki tayari shuru ho jati h or aik bar phir aftaar k waqt pora gharana aik sath beth kar roza kholne ka intizar karta h or phir ba awaz e buland roza kholne ki dua parh k roza aftaar kiya jata h or amooman zada tar musalman roza kholne k liye khajoor ko he tarjeeh dete hain. Phir Maghrib ki namaz parhne k thori dair bad se he traveeh ka ahetmam shuru hojata h or ramzano me to ibadat ka sawab bhi do guna kar diya jata h or phir ramzan k akhiri ashray me boht se musalman Aitakaf me beth jate hain or jo aitakaf me nahi bhi beth patay wo taaq raaton me jaag kar ibadat karte hain. Bus Ramzan ki to ronaq he alag hoti h k poori dunya k musalman aik jama'at ki trah aik he amal kar rahe hote hain or in tamam baton k sath eid ki tayari bhi zoron per hoti h jo ramzan ki khushiyon ko dobala kar deti h yani Ramzan sharif k mahinay me har jaga bs ronaq he ronaq hoti h.......

Tuesday 24 April 2012

Pakistan Women Cricket Team

Pakistan Women Cricket Team jo bohot se mawaqon pe shandaar performance ka muzahira kar chuki hai, qoum ko ASIA CUP ka tohfa de chuki hai, world cup qualifier hai, jagah jagah apna aap manwa chuki hai to phir Pakistan Women Cricket Team, Pakistan me he itna pichay kyun???
Shahid Afridi aik sixer bhi laga de tou pooray mulk me wah wah ho jati hai jab kay Women Cricket Team me poori poori centuries banane kay bawajud women player appreciation nahi milti, kyun? Umar Gul aik inning me 2 wickets bhi le le tou pooray mulk ka hero ban jata hai jab kay women player apni anthak mehnat kay bad shandaar balling ka muzahira kar kay match ka naqsha he palat de or trophy Pakistan kay naam kar de tab bhi uska naam kisi ko pata nahi chalta, kyun? Pakistan Man Team uchay tuchay match bhi jeet le to itne itne mahino tak team k gun gae jatay hain jab kay Pakistan Women Cricket Team ne ASIA CUP ki trophy se Pakistan ko nawaza us kay bawjud kahin un players ko Pakistan Women Cricket Team ko upar nahi laya gaya or kuch din me he Asia Cup ka naam tak bhula diya gaya, kyun? Kia kisi ko Pakistan Women Cricket Team ki players ka naam tak pata hai? Kia saari publicity, saari appreciation or yahan tak kay sara paisa bhi bus Man Players kay liye hai? Itni mehnat kay bawjud Women Cricket Team ko us kay huqooq kyun nahi diye jatay? Unhe publicity kyun nahi milti, appreciation kyun nahi milti, media un kay tamam matches ki live coverage kyun nahi deta, government is matter pe notice kyun nahi leti or tou or hum khud apni Pakistan Women Cricket Team ko support kyun nahi karte, kyun? Kia wo loug izzat ki, tareefon ki or Legend qarar diye jane ki huqdaar nahi???

Na Ahel Hukumat.... Zimedaar kon???

Aaj kal jisay dekho hukumat k khilaf bolta nazar ata h or zahir h is hukumat ne akhir hamen dia he kia h jo is hukumat ki tareef me kuch kaha jae. Corruption, loadshedding, mehngaii, ghurbat, sab kuch he to barhta ja raha h magr hamari hukumat koi notice nahi leti, koi pursaan-e-haal h he nahi bs jo bhi hukumat me ata h usay apni jaib bharne ki fikar lagi rehti h or Pakisatn me to nizam he ulta h saray jahil politics me ajate hain or saray parhay likhay samajhdaar log politics se door rehne cahate hain to bhaee phir tabdeeli ae to kese ae? Or wese bhi kon kehta h k Pakistan me jo kuch ho raha h wo hukumat ki ghalti h???
Allah taala ne Quran Pak me wazeh alfaz me irshad farmaya h
 "Jo qoum burai me ghir jati h me us qoum per bura hukumaran musallat krta hun"
Yani burai pehle awam me ati h usk bad saza k tor per us qoum per kharab hukumauran musallat kar dia jata h. Hum kyun chate hain k hamari hukumat achi hojae, hamen achay hukumaran. Aray bhaee kese mil jane?
Pehle hum apna ahtasab to kaen k hum kia karte phir rahay hain maslan hum traffic ki shikayat karte hain k yahan traffic boht hota h. boht badnizami h jiski wja se accidents boht common hogae hain, magr traffic me badnizami ki waja kon h? Hum khud.... jahan koi lamba cut hota h hum wahan se wrong le lete hain k itna lamba chakkar kon katay, jab ji chata h roads ka or traffic ka khayal kye bagher gari kisi bhi tarf ghuma lete hain, signals pe rukne me hamen mout ati h, traffic controller k isharay pe hum nahi rukte or abto jaga jaga pedistal bridges hone k bawjud hum road se he chalte traffic me road cross karte hain yani hum khud kisi rule ko follow nhi karte to traffic me badnizami to hogi na, accidents to aam honge na to phir iski shikayat hum kisi or se kyun karte hain k koi dekhne wala koi puchne wala nahi h.....
Taleem ka nizam tak to humne khud bigaar k rakh dia h, wo taleem jis k zor pe qoumen taraqqi karti hain us tak me to ghapla karte hain hum, Bs jo jitna maaldaar hota h wo apne bachon ko us hisab marks dilwa deta h or mutadid jagahon pe to examination hall ka manzar he alag hogaya h k ap usi waqt bs examiner ko 200,500 pakra do to wo end tak khamosh betha rahega balkay boht se mokon per apki madad bhi kar dega in he harkaton ki waja se jo deserving hote hain wo pichay reh jate hain or jo bilkul nill hote hain wo thaat se numbers le kr beth jate hain. Yani sahi mai'nay me jo taleem hasil karta h wo qoum ki taraqqi or bhalai k lye agay aa he nahi pa raha to phir taraqqi kyun kar mumkin ho tabdeeli kese ae? Is k zimedaar hum log hain kyun k rishwat to hamare he hathon se agaya ja rahi h na, hukumat to hamare bachon ko achay marks dilwane k lye rishwat nahi de rahi na, ghapla to hum khud karte hain na???
Jhoot hamari qoum me agaya h, gheebat hum dat kar karte hain, chori daketi hamari qoum me aam hogai, Insani jaan k agay chund hazar rupay ki ahmiyat barh gai, orton ki izzat hamari qoum se mit gai, sara adab lihaz he to hum mita bethay hain or to or aik haliya survey me pata chala h k sab se zada fahesh websites istimal karne me Pakistan pehle number per h yani hum to Allah ko he bhula bethay hain, Quran pak se door ho chukay hain, khof-e-khuda mit gaya h hamare dilon se to phir jab hamare saray he aamal kharab hogae hain hamari rooh tak maili ho chuki h to phr hum ye kyun chate hain k hamen achay hukumaran mil jaen, hamari hukumat achi hojae...
Kia itna sab kuch karne k bad bhi NA AHEL bs hamari hukumat h??? or hukumat he NA AHEL h to iska zimedaar kon h???

Monday 23 April 2012

Cartoon Network

Go! 
Asad.... don't disturb me!
go watch cartoon.
ok mother.
Asad goes and tune cartoon network.
This dialogues are part of our daily lives. Mostly mothers used to do this and become tension free from their responsibility.Children have become much more interested in cartoons over many years and it has become a primary action to some lives. Typically, children begin watching cartoons on television at an early age of six months, and by the age two or three children become enthusiastic viewers. This has become a problem because too many children are watching too much television and the shows that they are watching even if they are cartoons have become violent and addictive. The marketing of cartoons has become overpowering in the whole world and so has the subliminal messaging. The marketing is targeted toward the children to cause them to want to view the cartoons on a regular basis, but the subliminal messaging is for the adults’ to target them into enjoying the “cartoons”. This is unfortunate because children watch the cartoons on the television and they see material that is not appropriate for their age group. psychological research caused by children seeing violence on television are that the child may become less sensitive to the pain and suffering of others; children who watch violence do not fear violence nor are they bothered by violence in general and the children are more likely to become aggressive or use harmful actions towards others. When we are born we have the capacity 
for motivation, experience, and training, and because of this our minds are very impressionable. Therefore, our brains development is a dynamic mix of nature and nurture. so how much cartoon is effective for our new and immature generation  we think cartoon is saved for them but its our day dreaming these cartoon which is showing nowadays can shift our immature generation attitude towards negative and violent and bad aspect.

MY LAST BLOG............!!!

Bilaakhir yai meray (assignment)ka akhri blogb hai or is blog mai mein or kisi chez k baray mai baat nhe karun ge siwayai is chez k zindage mai pehli baar yai kaam kia or kaisa laga.jub mis AREEBA nai classs mai humain yai( assignment) dia tou us waqt pori class k mun per yai baat the k itna mushkil kaam hai kaisy karain gy kia likhain gy waghaira.likin phr humari miss nai aik achay (teacher )ki tarah samjhaya(guide) k blog kaisy likhty hain.or mein the dil sai miss ki shukar guzar hun k unho nai humain aisa kaam krny ko dia kiun k mera dil krta tha k jub bhe likhun khul kr likhun or miss nai jub humain kaam dia tou mujhay bht khushi mehsos hui kiun k apny saray blogs likhty waqt mujhay mukamal azadi ka ehsas hota tha.meinay apny blogs k zariye is mashry mai paida hony walay choty bary maslun per awaz uthayi kiun k (mass communication)k student hony ki hasiyat sai yai humara haq hai kuch bhe ghalat hota hua agar daikhain tou usky k khilaf awaz uthayain.apny blogs mai mainy har woh chez likhi jis sai roz hum log mutasir ho rhy hain ya hoty hain maslan(for example)mera blog AURAT KO USKA MUQAM KON DILYAI GA mai har who chez likhi jis sai mein ya meri jaisi or larkiyan guzar chuki hain jaisay aaj kal aik larki akaili (bus stop)per khari nhe hosakti kiun k akailay daikh kr aurat ko hamaisha muft ka maal samjha jata hai banisbat kisi k ghar ki izat k.YAI SUBHA KIUN HOTI HAI is blog mai meinay apny school ki yadaain likhi hain TALEEM BIKTI HAI mai jo kuch likha hai woh such likha hai or apni behan ka haal daikh kr likha hai jub(inter)mai mehnat k bawajud usay number nhe diyai gaya or (board ofc) shikyat le kr  gayai tou unho nai apni(demand)bta di k itny paisy dai do abhe (result)badal jayai ga.
BUS isi tarah kuch na kuch likhti rhe or aaj mein apny (assignment) ka akhri blog likh kr khatam kr rhe hun.Aakhir mai apni miss ka phr sai shukriya karun ge k ap nai itna acha kaam krny ko diya.kiun is kaam sai mere (typing speed )thori taiz hogayi hai. :)
                                                    THANK YOU MISS AREEBA

SIRF VEENA MALIK HE KION??

14 april ko raat 10 bajy jub meinay tv khola tou nadia khan show araha tha .or unky show mai veena malik k baray mai baat ki jar he the.veena malik k baray jis k dil mai jo araha tha woh bol rha tha .14 april sai pehly tk mein bhe veena malik ko ghalat samajhti the likin likin jub mujhay ALI ZAFAR ki film (London paris newyork) daikhny ka itifak hua tou mein ALI ZAFAR ka kaam daikh kr hairan(shocked) reh gayi k apni film ki heroin ko unka size btaya jar ha hai unko kapray diyai jar hay hain or bht sai aisay manazir thay mein yahan biyan krny sai jijhak rhe hun.khair yahan per yai sub btany ka maqsad ALI ZAFAR per tanked krna nhe hai balkay hawala daina hai k agar ungli ghalat kaam per uthyi jati hai tou ALI ZAFAR per bhe uthyain kiun k who bhe INDIA ja kr PAKISTAN ko he (represent)kr rhy hain likin nhe hamara mashra aurat zaat per ungli uthana janta hai mard zaat per ungli uthani kisi ko nhe ati sirf isliye k who mard hai who kuch bhe karay usay haq hasil hai or agar koi ghalat kaam aurat krdy tou woh buri hojati hai kiun uski koi izat nhe hai usay galiyan di jati hai.is baat mai koi sak nhe k VEENA MALIK ko aisa kaam nhe krna chahiye tha likin hum log yai kiun nhe daikh rhy k VEENA nai koi bhe kaam chup kr nhe kia.unho nai job he kia yak r rhe hain sub k samny kr rhe hain.or thk isi tarah ALI ZAFAR sahib bhe kr rhy hain tou phr koi unhy apny show mai(discuss)kiun nhe krta?unhy is baat ka ehsas kiun nhe dilaya jata k woh bhe jo ker rhy hain kuch acha nhe hai.PAKISTANI hony ki hasiyat sai yai kaam unhy zaib nhe daita.likin yai baatain humain us waqt bolna yaad ati hain jub VEENA MALIK koi kharab kaam karay.shya yai humary mashray ka almia ban gaya hai k agar ungli uthani hai tou sirf aurat zaat per kichar uchanlna hai tou aurat per,galiyan daini hai tou aurat ko marna hai tou aurat ko…..mein pouchti hun k sirf aurat he kiun azal sai abad tk zulm ka shikar ho rhe hai??or kub tk hamara mashra yai doghla pan jari rakhay ga??kub tk mard aur aurat ko alag alag (principles)sai jancha jayai ga???

Sunday 22 April 2012

WAQT SAI PEHLY NHE OR NASEEB SAI ZYADA NHE


Aaj sai kuch arsa pehly tk jub kitabun mai yai jumla/mahawra parhti the tou samajh nhe pati the k kia matlab hai is jumlay ka.likin mojuda halat mai mujhai is jumlay ka matlab bhe samajh agaya or us shacksiyat ka bhe pta chal gaya jin per yai jumla fit baiththa hai.or woh  shacksiyat or koi nhe humary pyary sadar ASIF ALI ZARDARI sahib hain kiun k Benazir sahiba ki dor-e-hakumat mai sadar sahib unky sath tou zarur hoty thay likin halat aisi na thi jaisi aaj hai us waqt sadar sahib ka kaam sirf Benazir sahiba k sath sath chalny ka hota tha or Benazir sahiba ko hokum sadir krty huay daikhna.phr halaat nai palta khaya or badqismati sai BB ka intiqal hogaya.or istarah BB ki wazarat ASIF ALI ZARDARI k pass chali gayi or aaj dakhiye humary sadar sahib BB k asasun(property )k sath sath is mulk k bhe malik ban kr baithay hain.kbhe kisi nai socha bhe nhe  hoga k jail ki salakhun k pechay zindagi basar krny wala shacks kbhe is mulk or is mulk ki awam  per hukumrani kary ga.shyd aisay waqtun or moqun per log kehty hain k                                                                                                                                           
                                  WAQT SAI PEHLY NHE OR NASEEB SAI ZYADA NHE”
Kiun k is sai pehly hamary sadar sahib MR.10% k naam sai janay jaty thay or aaj woh MR.100% ban gayai hain or sadar sahib MR.100% kiun or kaisy hain? Yai hum sab janty hain.zahir si baat ahi bhai jub apny hi mulk ki mazlum awam per (taxes)ki bharmar karain gy Ata, Chini,petrol mehanga karain gy awam ko kangal karain gy tou MR.ASIF ALI ZARDARI sahib MR.100% k naam sai janay or pechany jayain gy na!!!!!likin mein kbhe kbhe sochti hun k 10% sai 100% tk ka safar krny walay humary sadar sahib agar apna yai dimagh PAKISTAN or iski awam ki ki behtari k liye istimaal kr laity tou aaj shyd hamara watan -e- aziz ko bhe woh izat or maqam hasil ho jata jiska woh haqdar hai.likin afsos humary yai sadar sahib bhe or hukumranun ki tarah nikaly ji janay sai pehly mulk or awam ko kangla kr k jaty hain taky nayi hakumat qarzun k bojh talay dub jayai.shyd humary sadar sahib bhe yahe maqsad(aim)lai kr ayai hain or ab is maqsad ko pura krny k liye har mumkin koshish kr rhy hain.jis mai woh kafi had tk kamayab bhe hogayai hain waisay daad daini paray gi sadar sahib ko kiun k is mulk ki awam taraki hasil krny k liye apni puri zindage laga daity hain phr kahin jakr un ka shumar (high class)logun mai hota hai likin hamary sadar sahib nai bht hi kum arsay mai taraki ki manzilain charh gayai.or aaj woh is mulk or awam k malik banay baithay hain shyd isi liye aisay waqtun or logun k liye yai jumla bary borhay keh gayai hain k           
                                      “ WAQT SAI PEHLY NHE OR NASEEB SAI ZYADA NHE”

YAI SUBHA KIUN HOTI HAI.........

Aaj jub yai jumla mein apny bhanjay k mun sai sunti hun tou sochti hun k yai jumla takreban school janay walay har bachay k mun per hota tha k yai subha kiun hoti hai.or jub mein (graduation level)per agayi hun tou yai jumla bolny ka dil krta hai per afsos ab na meray bachpan k woh din hain na woh roshan subah hai or na woh school hai.mujhay aaj bhe yaad hai ami humain subha jaldi utha daiti the tou hum sub k mun per yai jumla hota tha k yai subha kiun hoti hai abhe tou hamari tou neend bhe pori nhe hui likin phr bhe uthna parta tha or us waqt school k naam sai nafrat ho rhe hoti the.har ghari intezar hota tha k kb khatam hoga school kb jaan chootay ge school sai.Or aaj jb school khatam hogaya hai tou dil krta hai k waqt wapis peechay chala jayai or mein phr sai choti hojaun phr sai school ja sakun usi tarah assembly mai kharay hokr tarana parhun,pehly ki tarah (1st seat)per baithny ki zid karun pehly ki tarah hum dostain(break)ka intezar karay jhoolay jhoulny k liye.pehly ki tarah (line)mail g kr intezar karain chutti ka.phr ghar akar school ka kaam karain.per…..afsos gaya waqt wapis nhe ata.or aaj iss masrufiat bhari zindage mai school k din,school ki sharartain yad karo tou ehsas hota hai k kitna acha waqt guzar chukka hai.or jub waqt hath mai tha tou yai jumla yad tha k yai subha kiun hoti hai.
Shyd kisi nai sahe kaha hai “jee lo yai haseen lamhy kia pta phr yai lamhy mily na mily”.or waqai  yai lamhy phr kbhe nhe milty.aaj hum log roz subha uththy tou hain likin pehly ki tarah woh nazary nhe rahay .woh nazary jub hum behan bhai school janay k liye uththy thay (uniform) pehan kr tyar hoty thay phr sath mil kr nashta krty thay,ami ko Allah hafiz keh kr ghar sai nikalty thay rastay sai phool chunty huay school jaty thay.koi dark hoof nhe hota tha k ghar sai ja rhy hain kia pta phr ayain na ayain jaisa aaj k waqt mai hogaya hai dehshatgardi ki wajah sai.
Or aaj jub waqt apny aap ko meray bhanjy ki shakal mai dohra(repeat) rha hai tou mujhai rashk ata hai usay daikh kr k kitna acha waqt woh guzarny ja  rha hai kitna acha waqt shuru hony jar ha hai uska.or aaj meray pass siwayai rashk krny k or un haseen yadun ko yad krny k siwa kuch bhe nhe hai.


ALLAH KI MARZI KE AAGE SAB BEBAS HAIN


Hum duniya ki rangeeniyon mai masroof hoke aik aisa sach bhuljate hain jab woh humare aankhon ke saamne aata hai to humain yaad aata hai ke Han duniya aik arzi jaga hai jana to humain us ALLAH ke pass hi hai. Hum bohut saari planning karke beth jate hain ke hum jab kuch hasil karlainge to hum yeh bhi karainge hum who bhi karainge mager humain ye yaad rakhna chahiye ke ALLAH KI MARZI KE AAGE SAB BEBAS HAIN. Sabse mushkil waqt wo hota hai jab aapke sath aik insan ne zindagi ke aise pal bante hun jinhain aap bhula hi na paain, aap jante hun us insan ne aapke mushkil waqt main aapka sath diya bachpan se leker barey hone tak har cheez main aapki madad kari. Woh lara bhi aapke sath, shararton main bhi aapke sath sath raha, aur bht saarey pal jismain uska bht bara hissa raha ho. Humari zindagi yun bhi palat jayegi us aik shaks ke chaley jaane se  hum sochte hi nahi hain bas sochte hain to apne baarey main us zaat ke baarey main nahi ke agar hum is duniya main aaye hain to hum thora sa waqt us zaat ke liye nikal sakte hain. Jab hum duniya ke har kaam karsakte hain to ALLAH ki ibadat kiun nahi karsakte, kabhi nahi sochte. Humain phir bhi woh zaat maaf kardeti hai beshak ALLAH SABSE BARA HAI AUR KARAM KARNE WALA HAI.