Saturday, 21 April 2012

PAROSI MULK KI NAQAL PAR GAI BHARI

aik waqt tha jab pakistani darama industry ki dhoom thi.chand girhan,dhoop kinare,kiran kahani, dasht ,tanhaiya ,aise daramay thay ke jab inki nasharyaat shuro hoti to sarkain sunsaan ho jati.lo gharo mai boht ahtamam k sath in daramo ko daikhte the.lekin ab surat e haal kafi badal chuki hai.nazree pahle jaisi dil chaspi daramo mai mahsoos nahi karte.actors pahle bhi hamare qabil e sataish the or aj bhi hmare pas aala darje k actors mojood hain balke glamour mai to mazeed izafa hi howa hai phir kiya waja hai jo darama industry pahle jaisi nahi rahi.iski bunyadi waja daramay ka plot hai jo pahle jaisa nahi raha.
nazreen ka beshtar hissa midle class se taluq rakhta hai plot likhte waqt mazi mai is baat ka khas khayal rakha jata tha.or daramay mai aise pahlo dikhaye jate the jo waqiyatan logo ki aam zindagi se taluq rakhte the.jabke ab daramo mai glamour itna barh chuka hai k wo haqiqi zindagi se door dikhaye daite hain.aik gareeb ghar ki larki ko itna fashion able dikhaya jata hai k wo in kirdaro mai munasib dikhai nahidaiti.
parosi mulk bharat kdaramo k asraat bhi hamare daramo mai dikhai daine lage hain.directors or producers ye baat hol huke hain k hamari darama industry bharaki  darama industry se kafi chi thi.or hamai in k tarz ko apnane ki zarorat nahi thi balke khud bharat k loog pakistani daramo ko pasand karte the.
darmo mai dilchaspi ki kami ki aik waja ye bhi hai k wo hamar iqdaar se door dikhai daine lage hain zahni toor par aj bhi hun apne mazhab se muhabat karne wale musalman hain or aj bhi aise daramay daikhna pasand karte hain jis mai hamare mulk ki tahzeeb o tamadun or islami maashray ki jhalkiya dikhai dain or jo uryaniyat se pak ho.

No comments:

Post a Comment