Tuesday 28 February 2012

On a serious note


I think that working in media is for the tough ones because one is very much exposed to the negativity and not to mention life threatening situations. This happens not just with the jobs related to the media, any job that promises a good salary package comes with many risks. However, people who work for media become a public property such as actors, politicians, journalists, writers etc and they are far more exposed to the outside world than any other profession because media can instantly give popularity to someone or an issue.

Media either print or electronic is basically a platform for those who are professionals as well as general public to share whatever they know or whatever they find out by reporting or researching, sometimes though, some information can never be given out such as the JFK case which can be further explained by Oliver Stone's 1991 film JFK closed with the following message:

“A Congressional Investigation from 1976-1979 found a "probable conspiracy" in the assassination of John F. Kennedy and recommended the Justice Department investigate further. As of 1991, the Justice Department has done nothing. The files of the House Select Committee on Assassinations are locked away until the year 2029.”



An example from Pakistan which can be Zia-Ul-Haq’s plane crash or Benazir Bhutto assassination, there are still a few mysteries, remnants of information that prove that still media has to stop at one point or another.

Then sometimes media bombs away with the most controversial taboos and truths that shock their audience and in return cause higher ratings for a show. Why is this rating such a huge deal anyway? Here is why:
Chart showing advertising dollars and ratings






The more a show is watched, the more advertisement is pumped into that show. It does not matter what content is shown on the show, anything that attracts a specific audience such as audience from a specific age group, gender, race etc, whatever causes more people to watch a show is big money for advertisers.

There are many shows and movies that are watched for the purpose of entertainment and not to follow the content that is shown on the show (excluding the Indian sagas and daughter-in-law, mother-in-law cat fights which some take literally) which is essential to mention in this blog hoping that I do not become a killjoy.

Every profession has a discipline that sticks to it like a fly to a fly paper and it should be taken into account especially when a huge audience is involved. Anyone can talk about ethics and principles but what is important is how the credo is maintained, how the set principles have been taken into consideration so talking about something is different and easy while doing something about it is a formidable act.

Any channel can come up with a Jerry Springer show which has a specific target audience and high ratings, which not to mention also come with a warning. What is different is when a channel sends its employees on serious missions that also pose risk to life such as what journalists do when they are sent to embed a war struck country such as Anthony Shadid died of asthma in Syria reporting the Arab Spring or Joao Silva who died when he stepped on a land mine in Afghanistan.

There are not so many local heroes like the journalists above who died embedding the conflict zones of the world, very few are brave to do so, to go out in the field and die for a purpose. Or what about the refugees such as the Children who make chocolate out of cocoa in Africa, they do not get to eat the chocolate that they make rather they get paid with little amount of money. Or those refugees who, in search for their identities, end up getting killed and their organs getting sold for thousands of dollars, they do not even get a proper burial in a graveyard rather, they get buried outside across the walls.

The point is without the audience, without the viewers, there is not a single show on earth that can pass in order to be showed on regular bases. The people are the ones who take one show from an unsuccessful point to a successful one. Basically, it is us who choose the content of the show and become buyers of the product that is shown in the ads.  We are the money generators and it is up to us whether to choose a saga based on domestic (self-generated) problems, or a CNN Freedom Project etc. No matter what happens, wars, killings or the Oscars, the people will be the one that would want to know about all of the aforementioned which as a result will automatically cause the big owners to make shows with such content. This is just one side of the story, a biased opinion of an ignorant reader of news and not a viewer of Television or me.









Saturday 25 February 2012

SAFETY 1ST


 What come into your mind about the word safety first? It is a well-known fact wrote Robert Louis Stevenson “that an immense proportion of boat accident would never happen if people held the sheet (rope) in their hands instead of making it fast”. The right way to manage a sailing boat is to hold the rope that regulates the sail in your hand. It is obvious that if you do not have the control on sailing boat, if you do silly mistakes, then you may be drowned.
                                            
                      
                       Many times serious accidents and deaths happen due to carelessness and laziness. People do not think about their selves and it is surprising how careless people are in very ordinary things. Silly mistakes can often lead to serious accidents like throwing away lighted matches, filling oil-stoves or lamps when they are lighted, running across the street in front of a motor car, jumping off a train when it is moving and throwing banana skins on the floor for others to slip on. These are some of the examples.
                                            

                          So try to avoid giving examples of foolish carelessness, set the motto in your life “Safety First”, use your common sense. Do not take unnecessary risk; keep your eyes and ears open. In a word be care full, for your own sake and for the sake of others. The word “Safety First” does not meant that we must never take any risk. Sometimes your life safety is not the important thing. It is only against unnecessary and silly risks that motto of “Safety First” is aimed.

Wednesday 22 February 2012

Taleem Bikti Hai....


Ikeeswi sadi(21st century) k is dor mein agar hum dekhain tu duniya mein be-inteha taraki hoi hai.Chahay woh taraki science ki ho ya ilm-o-adab ki ho or itni hi taraki karlene k baad hum ne apni hi taraki ko ma-a-ashi zariya bana diya.Jaise science ki taraki computer hai.Or is saari taraki ka raaz taleem hai jiske zariye koi bhi insaan ya koi bhi qoum taraki karti hai kyun k  hamara aesa manna hai  k jab tak hum seekhne ke marahil se nahi guzrainn gay hum kuch nahi seekh paayen gay or is seekhne k marahil se guzarnay ka naam taleem hai jisko humnay baichna shuro kardia hai.Aj ke is dor mein ilm ho ya taleem sirf or sirf  kamai ka zariya ban kar reh gaya hai.kahin per talba agay nikal janay ki dorh(race) mein ya behtreen college or university mein admission k liye taleem ko khareedte hoye nazar atay hain tu kahin per asatza taleem ko farookht kar rhay thote hian or yeah sub hamare sath isliye ho raha hai k hamary andar sai ehsas e zimaidari khatam ho gaye hai.Hamary andar se ye ehsas khatam hogaya hai k talim hasil karnay ki chez hai  baichny ki nahe.Talim ki ehmiyat ka andaza is baat se hota hai k isko hasil krnay k liye khud hamary piyary Nabi (S.A.W) ne farmaya hai k “ilm hasil karo chahy iskay liye tumhen chen(china)he kiun na jana paray” likin hum ne is ilm ko hasil karna tou door balkay isko apnay mashray ki tarah 3 hisoun mein takseem krdia hai.Jaisa k (Cambridge system)mein sirf wohi bachay parhtay hain jin k ghar walay is system k ikhrajat ko uthanay ki haisiat rakhtay hain.Middle class loog private idarun(institutes) mein parhtay hain or nichlay tabkay(lower class) k loog govt. idarun mein parhtay hain jahan koi (check and balance) rakhnay wala nahe hota.Hum ne or humary mulk ne azadi hasil karny k baad taraki tou karli likin ye bhol gaye k is taraki ko hasil krnay ka raaz talim tha.Jisko ajj hum ne apna zariya e amdan bana dia hai.Hamary sath azadi hasil krnay wala hamara parosi mulk (India)taraki kr k kahan pouhanch raha hai or hum aj bhe wahin khary hain jahan 64 saal pehly thay or ye sub kharab talimi nizam ki wajah se hai.Humri hakoomat k pass itna time nahe k woh is nizam ko behter banana k liye kuch iqdamat karain kion k humaray jo hukumran hain who khud talim ki ahmiat se na ashna hain kion k ya tu who jantay nahi hain ya jan na nahi chahtay k koi bhi mulk usi soorat mein tarraki hasil karta hai jab woh apnay mulk k talimi nizam ko behter se behter banata jata hai. Or humary is mulk mein behter talimi nizam ki kami hai kion k hum aik aese mulk mein rehtay hain jahan talim se le kar murday ka kafan tak bikta hai…  

Tuesday 21 February 2012

Give it a go

Here is yet another ‘philosophical go’ to the discovery of what the ‘truth’ is and what really does matter in the practical world. There is a difference between the two of them that is, truth is not necessarily important while what really matters is the practical details that are socially or widely accepted, that actually matters while, just for the opinion’s sake, locals rather go with the flow, they would rather do what is normal in the society and without caring about the harm that will mount the society by following that popular trend, that popular norm.
 We do not really want to confuse ourselves by bringing a change because we know that we do not have the iota of strength to bring change for example (as a mass communication student it is easier to quote political example while it is not really related to the topic), when Imran Khan promises to the people of Pakistan that PTI will shoot down drones once it comes in power, the people do not readily believe the details especially the politically conscious ones because America sort of controls what goes in Pakistan and people of Pakistan depress themselves by thinking that we have no strength to stand up for ourselves, we are puppets, which is sad to think as a sovereignty, as a republic. So if someone wants to bring a huge change, we think of what is widely accepted that becomes our first priority in order to ease the judgment of the circumstances.
Similarly, when a land of pure has so much dirt in it, we cannot bring about change without getting our hands dirty or (politically speaking) without getting threatened about our lives, without putting our lives in jeopardy. If we think of only community based problems we would not be able see much difference, we cannot bring about change or a girl cannot bring change without getting her hands dirty.
What is widely accepted versus the truth is the dilemma, the catch 22, the ‘no-win situation’. When I say a girl I mean a single girl going toward being married which is actually my topic. A single girl coming from a middle class family or a financially-challenged family (necessary for more trouble) going toward being married from single; the amount of burden on her for not bringing enough dowry, for not being able to afford the various marriage events that are the very norm is eternal. Here is the dowry of Bibi Fatima, daughter of Holy Prophet (S.A.W):
·         “One Armor sold for 400 or 480 or 500 Dirhams.
·          One pair of cotton Yemeni Gloves.
·          Raw and untanned hide of a goat (Manaqib Ibn Shahre-         Ashoob Vol. 3, p.351).”[1]
We think it would be quite awkward to give a pair of gloves to the bride in 2012 which is not wrong considering how the world has changed but considering that the whole marriage institution has to be Islamic in every way possible but when it comes to the rights, we do not really care about what Islam says about humanity, we cuss the girl for not bringing enough dowry but she cannot even raise her voice saying where is Islam now? Although here is another side of the coin, some people might be wondering about the ‘mehr’ issue, sometimes the girl’s family decides a huge amount for mehr which in turn is a burden for the husband.
We are too busy in self aggrandizement that we forget about the two young people who are frightened out of their wits just to think of the amount of expense that the simple institution of marriage will bring (which does not necessarily have to if done in a proper way). What is more infuriating is the divorce ratio going up due to the girl being financially weak (concentrating on the ‘girl aspect’). What is more annoying then to kick a woman out with her kids in the middle of the night just because she was not financially strong? Here is a piece of advice for the ‘aggressive, antagonistic, self-righteous, holier-than-thou’ people out there: Once you ruin someone’s youth, once you ruin someone’s present which will haunt them by being their damaged past, you cannot bring their time back for them, you cannot bring their happiness back, you cannot bring their past back to life to redo your mistake because in life you do not get a ‘do-over’, it is one time deal so try accepting a poor girl too, here is your food for thought for the day.
Dedicated to my mother, for you my tears are abundant for yours are priceless.




Sunday 19 February 2012

"CHALO AAGAZ KARTE HAIN"

 "HOTA HAI SHAB O ROZ TAMASHA MAIRE AGAY" ........................ galib ka ye misra jab sunti hn to maire dil main utar jata hai.zara ap bhi gour kar k daikhain ap ko bhi  yaqenan yehi mahsos hoga jaise hamare aas paas aik tamasha sa ho raha hai.hum sab kis taraf ja rahe hain, kiya kar rahe hain, or kiun kar rahe hain ye kisi ko nai maloom.hazaro main se chand aik hi honge jinhe waqi maloom hoga k wo maashray mai aik fard ki hasiyat s,mulk mai aik mulki ki haisiyat se or dunya mai aik insan ki haisiyat se kar kiya rahe hain.                                                                                                            
                 Chalian sab ko choriye main or ap khud se sawal karte hain k janab hum yahan is dunya main kar kiya rahe hain? ......................... ab jo jawab mje maire andar se mosool ho raha hai wo hai 'TIME PASS".ji ,hum sb yahan timepass hi to kar rahe hain or jb dunya main anay k maqsad ko sirf  time pass hi bana liya jaiga to shab o roz tamasha to hoga hi.
                     Hamari is be maqsad zindagi ki sab se bari waja ye hai k hum apni zindagi ko le kar koi mansoba bandi nahi karte.or koi bhi amal jis mai mansoba bandi shamil na ho wo amal aik tamasha or shugal hi ban kar rah jata hai.hamai chahiye k hum subh o sham mai se chand lamhaat nikaal kar apni  zindagyo ka ahtisaab karain or zindagi guzarne k liye aik lahe amal tayyar karain .lahe amal ki is fahrist mai sb se pahle apne liye aik wazah maqsad ka taaiun karain,apni fitrar mai tasalsul shamil karain or kahii ko khud se door karain,haqiqat pasandi ko apnai,rozana ka aik target muta in karain,or is apne target k liye aik hodood ka bhi taaun karain or aakhiir mai is fahrist mai ye bhi shamil karain k chahe kuch bhi ho jai hum apniis mansoba bandi k khilaaf nahi jainge or is par pabandi se amal karaige.phir daikhiyega ye laah e amal hamain kis tarha aik bamaqsad insan or ba maqsad shahri bana daigi
                       Yaqeen janiye apne ap ko  or apne target ko jan laine k baad zindagi mai jo energy mahsoos hoti hai,jis taskeen or khushi ka ahsaas hota hai wo is tarha sirf time pass karne mai nahi.aik baar aisa kar k to daikhte hain  jab hi to hum jaan painge jeenay ki asal lazat warna to yu hi din guzarte jainge or hum jeenay ki is haqiqi lazzat ko hasil kiye bagair hi hum is dunya se chalay jainge. asal musarat se mahroom rah jaingi. ZARA SOCHIYE!!!!!!!!!ITNI BARI MAHROOMI!!!!!!!!!!!!!

Friday 17 February 2012



NEVER LET THEM GO



Hina came back from London to Pakistan after 10 years. She has done her Post Graduation from Brunel University. Hina‘s parents is so happy to see her daughter is home as she is the only child of her parents. Hina wants to continue her career here in Pakistan by finding a suitable job for herself. As she had done her MSc in Media and Communication, so she applied for the job and she got employed in the most reputed channel of Pakistan.

One day while talking to her mother hina asked “Mama where is your old friend Ayesha? I haven’t seen her a long time ago. Had Ayesha Aunt visited our house after leaving this area?  Hina’s mother replied “I am very much worried about her. I really do not know where she is? When she leaves this area Ayesha promised me that INSHALLAH she will visit to our house. But beta she never came a single time here. ALLAH knows where she is. I always pray for her.

Next day when hina came home after her job. She looks very much stressed. When her mother asks her she cried a lot. Hina’s mother got a little bit worried, and then hina told her mother what happened why she is crying. She told her the reason that mama today my manager call me and assign a duty to me that I have to cover a program in edhi home. I got ready and reach there by time. I interviewed the caretaker of edhi home and I move on to those people who had gone through hard time. Parents, children of different ages living their just because their loved ones can’t take care of them, they can’t raise them or support them and suddenly I was shocked to see Ayesha Aunt sitting lonely there. For a minute my mind goes blind that what to say. It’s like words stuck into my mouth. My heart says that I am happy to see her, but the bitter side is that in what condition? Speechless I have seen her very much happy but now all the colors, shine vanished from her eyes. All I can see broken dreams just because their children left her in old age. I don’t know if she remembers me recognized me. But the only thing left which is emptiness in her eyes.

Moral: Never let them go gives us the moral that we all should love our parents respect them, give the comfort that they want from us in their old age. Our parents do anything for us when we were young. They watch over us in time of sickness, teach us the principles of life, and guard us from evil influences. When our parents get old they need our attention. Give them all the care they needed. Always remember when we get old the same thing if we have done with our parents will also repeat by our children. So try to finish this word old home from society.

Hadith: The reward of kindness to parents is so great that our beloved PROPHET MUHAMMAD (PBUH) recommended it in place of Jihad. It is narrated that a man came to the Prophet asking his permission to take part in Jihad. The Prophet asked him, "Are your parents alive?" He replied in the affirmative. The Prophet said to him, "Then exert yourself in their service." (Bukhari 4.248)

INSANI KHUAISHAT KHATAM KIU NAHE HOTI. . . ???

Agar  is mazmoon k liye mai apna kalam uthao kuch likho tou meray lafz khatam ho jaen gaye par insani khuaishat kabhi khatam nai hon gai .


Mandraja bala jumla insani fitrat ki sahe akasi karta hy kyun k insan ka kisi haal mai mutmain hona mushkil hy .Maazi , Haal , Mustakbil in teen dauron mai insani zindagi ki khani posheda hy . Maazi se haal mukhtalif aur haal mustakbil se alag hoga aur mustakbil mai kya hy ???ye hum nahe jantay hain .Lekin hamari kuch khuaishat , arzoo ,tamanaien hamaray azaim jo hamein zindagi ka hosla dati hain aur jab bargah-e-ilahi mai dua k liye hath uthae jatay hain tou yehi khuaishat dua ban kar labon par a jati hain aur hamay yakeen hota hy k duaein puri ho jayen gai tou har cheez achi lagti  hy aur ALLAH se yakeen-o-aitamad mai izafa hota hy . Lekin ek manfi surat hal bhi hoti hy k insan keh uthta hy…….

HAZARON KHUAISHAY AISI K HAR KHUAISH PE DUM NIKLAY BOHAT NIKLAY MERAY ARMAN MAGAR PHIR BHI KAM NIKLAY

Is liye kah jata hy k insan na shukra hy .Insan ki khuaishat ka jo na khatam honay wala silsila hy wo azal se hy aur abad tak rahe ga . Jab insan dunya mai ankh kholta hy tou dunya ko dekhta tou is ko har cheez apni taraf attract karti hy wo sochta hy kash meray pas ye sub kuch hota jo meray  samne walay k pas hy magar kabhi ye nahe sochta k samne wale se ziada meray RUB nay mujhe ata kiya hy . Magar insan ki khuaishat khatam hi nahe hoti wo har waqt khub se khub tar ki talash mai rehta hy aur buland mukam hasil karne k liye koshish mai lag jata hy aur sach kaha hy k :

“Shaitan insan ka khula dushman hy.”

Darasal shaitan insan ki fitrat ma hy ,wo insan k nafs ko war ghalata rehta hy . Jis se insan k zehan mai nai nai (new) khuaishat janam leti hain .

           Khuaish aisi karay jis ko hum pura kar sakay . Mai ye manti hon k khuaishat aur azaim jeenay ka hosla paida kartay hain lekin hamara mazhab hamein ye nahin sikhata k apni khuaishat mai apni had se guzar jaein aur apni zaroraton ko najaiz tarikon se pura karay.                                                         

           Ab sawal ye paida hota hy k insani khuaishat khatam kyun nahin hoti ?   Wo is liye kyun k insan ne apni zindagi ka masqad dunya ko bana liya hy wo ye bhool raha hy k khuaishat se bhari zindagi tou Aarzi zindagi hy , magar hamesha rehne wali zindagi tou Akhrat ki zindagi hy .

Aakhir mai ye kehna chaon gi k :                                                                                                           

  

“Kush kismat insan wo nahin jis k pas dunyawi dolat hy bulkay khush kismat insan wo hy jis k pas deeni dolat hy .”

  

                                                                                  

                                                                          

 

Wednesday 15 February 2012

Marium Or Us K Khawab….


Aaj   jo  wakia  mein  biyan  karnay  ja rahe  hoon  woh  aaj  se  kuch  arsay  pehlay  tak   mere    liye  ahmiat  ka  hamil  nahe  tha  likin  aaj  k  mojuda  halaat  main  jab  maashi tangdasti (Economical Crises)   apnay  urooj  per hai, toh mujhe is waqiye ki ahmiat ka andaza hota hai k ye kahani humaray mashray(Society)  mein basi har us Marium ki hai jisnay apany maa bbap se parhnay ki khwahish ki or school mein dakhla(Admission) le lia likin us waqt Marium ye nahi janti thi k uski ye khawahish Marium se us hi ki zindagi cheen lene ka zariya ban jayegi.Jab Marium school jana shuro karti hai toh woh buhut khush hoti hai or sochti hai k ub usko apnay khwaboun ki tabeer mil jayegi. Isi khushi mein woh daswi (10th) jamat tak taleem hasil kar leti hai. Jab Marium ko apni manzil kareeb nazar arahi hoti hai toh aik din uska baap kehta hai k ub mere pas itnay wasail (resources) nahi k tumhay mazeed taleem dilwa sakoun.Isliye Marium ka baap uski shadi apnay jasay hi aik ghareeb gharanay mein kr deta hai.Jab Marium shadi k kuch arsay baad maa k darjay per faiz hoti hai tu uski ankhain apni beti k liye wohi khwab bunnay lagti hain jo khawab Marium ne kabhi apnay liye dekhay thay. Farq sirf itna tha k pehle woh khwab Marium apnay liye dekha karti thi or ub apni beti Rabia k liye dekhna shuro kar diye thay kion k woh chahti thi k uski beti ka mustaqbil bhi uski maa ki tarhan tareek na ho.Likin Marium apni is khawahish ko pora nahi kar pati kion k bohut jald Marium ko ye haqiqat samajh mein ajati hai k us k khawaboun ki koi tabeer nahi.Kion k Marium k baap ki tarhan Rabia k baap k pas bhi itnay wasail na thay k woh apni beti ko aik behtar mustaqbil de sakay.Or phir bil akhir Marium apni ghurbat bhari zindagi se tang akar aik din apna or apni beti ka taluq is zindagi se hamesha k liye khatum kar deti hai.Kion k Marium ye haqiqat jaan gai thi k usnay taleem hasil kar k khwab dekhna toh seekh liye likin ye na seekh saki k  khawaboun ko pora kasay kartay hain. Aj Marium or uski beti toh is dunia se chali gai likin humaray liye ye sawal chor gai k unka kia qasoor tha? Behtar zindagi k khawab dekhna ya taleem hasil karnay ki khawahish karna?

Ye Marium ki woh kahani hai jisnay mujhe ye sochnay per majbor kiya k agar hum taleem hasil karain tu us k zariye poray honay walay khawab dekhna chor dain? Ya phir apnay khawaboun ki tabeer ko pora na hote dekh kar Marium ki tarhan apna taluq is zindagi se hamesha k liye toor dain!! Ye woh sawal hain jin ka jawab kisi k paas nahi, na humaray paas or na is mashray k paas. Likin mera sawal is hakomat se ye hai k kia in k pas bhi itnay wasail nahi k woh in logoun k khawab poray kar sakay…… 

Tuesday 14 February 2012

Pro Se

Every individual has their own personality, their own way of portraying themselves, their own distinctiveness which makes them, makes us, makes everyone stand out and be unique. It is a common perception that ‘everyone is an individual’ but to take it into account that every person is an individual is a completely different perception.

It is by habit that we think of ourselves first, we think of our problems first and that we are our own priority, we are all a tad selfish and that is quite natural not to mention. To be a bit of selfish is relatively natural and a deeply-ingrained part of us also necessary to move forth toward success, if we stopped doing that we would be stuck in one place, if we put others’ needs before us even when we cannot afford to we would be stuck in one place. In order to keep moving forward it is essential that we become our first priority while subsequently we should think of giving back to the community by helping the needy.

Although sometimes in the long run our proclivities influence us to tread a few people in our surroundings but we, unaware of our actions, keep on moving forth which is a foolhardy act, a hasty decision or a very proud move.

Sometimes we do not get to chose who we are such as if someone has a speech impediment they did not choose it, if someone has a learning disability they did not choose it. Similarly if someone is submissive by nature they did not choose it, if someone cannot control their temper, they did not choose it. It so happens that we as individuals are born with our own superpowers and we cannot change them they are very much embedded deep within us. But to make someone’s life a living hell just because they do not fall in the category of ‘the normal cult of society’ is again a foolhardy act, an appalling act.

It is not really up to us to decide who is perfect inside out because no one really is perfect. Everyone makes mistakes, there is always room for improvement in everyone’s life and no one can be complacent enough to say that they are ‘perfect’ that they do not need to learn more, that they have all the answers. Someone can have the expertise of one subject or a few subjects but not all, a person can have full know-how of a few subjects but not all.

There is a difference between getting the chance to speak up for yourself and never getting one at all. When you get a chance to speak for yourself each day is like Christmas, Eid etc. When you have to cocoon yourself thinking that others might not agree with your opinions, with your ideas, every day is like facing an earthquake.

No one has the right to frequently give shut up calls to the ‘dumb ones’, to the submissive ones because those who do so are oblivious about what egalitarianism is. Egalitarianism is a policy, a belief that suggests that every individual is equal or according to Merriam Webster: egalitarianism is a social philosophy advocating the removal of inequalities among people.

We cannot advocate the idea of removing inequalities among us if we let others speak for themselves only, if we have to say something then it is high time that we start doing so by admitting that we are not being treated fairly and rather opposite to what we deserve.

Throughout my life I have faced so many people insulting me on my face in public without thinking for a second that they could be wrong and not me. On the other hand I accepted their treatment thinking that maybe I am not capable of making the right decision. But looking back on life I regret not standing up for myself because now I know that I was quite right on my path. So now I will always represent myself for which I will tell the dominant ones to make way because I am coming through as I have a ‘dumb notion’ of my own to represent.

N.B. You have a right to represent yourself in all court cases. Representing yourself is called acting pro se. Pro Se is a Latin phrase that means “for yourself.” http://www.jud.ct.gov/faq/represent.html

Monday 13 February 2012

“KHWAHISHON KAY MOTI”


   “KHWAHISHON KAY MOTI”

“Har rox subha jab meri ankh khulti hy who fajar ka hi waqt hota hy,fajar ki azan ki dheemi awaz meray kanoo main sunai dey rahi hoti hy,jab main puri tarhan sey nend ki agoosh sey bahar ati hun tou phir mujhy ahsas hota hy kay aj phir main apny lashaoor main us he ki talash main thi,bas wahi anjan raston main usay dhondna,jab usay paa lena tou  har bar paa kar us kay laams ko mehsoos karny ki chah main us kay wajood ko andheri parchaeyon main kho dena,aur phir anjan raston par kharay bas usko pukarty rahna.meray hisay main aj tk bas yahi tou aya hy,mujhy lashaoor main usay khoodeny ka ghum nahe hy,ye ek lashaoor he tou hy jis ki badoolat main usay dakh pati hun,uski mojudgi ko mehsoos kar pati hun,usay chunay ki koshish tou karti hun,kiya hova jo chu nahe pati,uski zaat kay nazdeeq lashaoor main guzray hovay woh chand  lamhy kiya qeemat rakhty hain,who main he janti hun.

Mera bas chalay tou us ek lamhy ki khatir taa-umer soojaon,bht takleef hoti hy haqeeqt jan kar,kay who sach main mojud nahi tha,dekha jae tou mera lashaoor meray shaoor sey kahen behtar hy,haqeeqi zindagi main tou us ka  mil jana mumkin nahe,magar phir bhi mujhy har lamha us hi ki talash  hy,ye jantay hovy bhi kay kuch hasil nahe hona.

Us khwab sey nikalny kay bad main roz marha ki tarhan apny ap ko is teez rafter zindagi main gum kar deti hun kuch waqt key liye uski talash ko bhula key magar uski soch hamesha meray zahan main mojud hoti hy,bilkul aise jaise uski soch ki waja sey meri zindagi qaeem hy.”

Ye tha ek kahani ka chota sa khaka,ap jab isay parh rahy hongy tou yaqeenan is kahani ko apny  kahen na kahen apni zindagi sey mail khata hova paya hoga,ye kahani is duniyan main mojud har dosray shakss ki zindagi sey bht gehra talooq  rakhti hy,koi kisi ki zaat key hasool ki talab karta hy tou koi duniyawi asaeesh ka kowhiesh mand hota hy,insan apni khowhishat ka itna deewanawar talib ban jata hy kay usko isky agay aur kuch dekhae he nahe deta,yahan tak kay irdgird fiza main bikhray khubsurat khusiyon kay rang bhi nahe.

Akhir hum insan apni khushiyon kay mehlay waqu ko itna mehdud kiun bana letay hain,jab kay khushi ka ansar tou har lamhy main mojud hota hy,hontoon sey bayan hoty har lafz main khanakta hy,ankhon ko dekhny walay har manzar main lehekta hy,tou phir kiun kar hum insan mehez sirf ek chez kay gird apni khusiyon ki lakhiron ko khainch dety hain aur apnay irdgird bekhray khushiyon kay rangon ko sard oos kay andar daba dety hain,aur is ek khwahish ki taqmil na hony pay hum har roz apny naseeb main anay wali khushiyon ko bari bedardi sey thokraty rahty hain,itny nadan ban jatay hain kay is zid kay natejy main baray baray nuksan kar bethty hain,sach tou ye hy kay jazbat khushi kay hon ya ghum kay insan ka in dono par ikhtiyar hy kay who kis rang ko khud par havi karta hy,waise khusiyon kay in rangon kay sath khailna bhi ek fun hy,is fun main maharat rakhny wala insan khub janta hy kay who mahool main mojud rangon ko kis tarhan apny andar jaazb karay kay who usky andar jaami oos ko maat dy kar udasi kay jazbat par haavi ajaien .

Insan apni khwahish ki taqmil kay liye Allah kay hazoor baraha duaien mangta hy girgirata hy,magar jab musalsal mangay janay kay bawajud bhi uski dua qabool nahe hoti tou woh apny rab say naraz hojaya hy,magar insan ye kiun bhul jata hy kay iski khwahish say Allah ko dilchaspi nahe hy,who uski taqdeer apni marzi kay mutabik banata hy,usay kiya Milan hy aur kiya nahe milna hy uska faisla who khud karta hy,jo cheez apko milna h yap uski khwahish karain ya na karain who ap he ki hy who kisi aur kay pas nahe jaege,magar jo cheez apko nahe milna hy who kisi kay pas bhi chali jae woh ap kay pas nahe ayege,insan ka masala ye hy kay woh janay wali cheez kay malal main mubtila rahta hy anay wali chez ki khushi usay masroor nahe karti.  

Agar insan ek khwahish kay adhoorey rah janay par jeena choor denay key bajae us khwahish ki taqmil ki talab hi chordy aur usko apni soch aur weham-o-guman sey he nikal kar phenk dey tou us khwahish ki ahmeyat raati bhar bhi na rahay ge,lekin aise mazbot soch kay liye insan ka apny naafs par kaboo hona bht zaroori hy,agar hum nafs par apni gireft ko mazbot kar laingy tou xindagi main anay wali koi bhi taalkhe hamary wajud par asar andaz na hoge aur humari shaksiyat toth photh ka shikar hony sey bach jaege.

Mera maqsad yahan ap sab say apni ek adna se soch aur ek mazbot iraday ko share karna tha kay hum kiun kar apni khwahishon kay thaal main aisey lahasil moti chun letay hain jo siwae humain dukh kay aur kuch nahe dety,hum ye azaam kiun nahe kar lety kay Allah ney jo kamiyabiyan humaray muqadar main likhi hain,who zaroor humaray haq main behtar honge,kiun kay jo khushiyan gair mutawaqa toor sey hasil hoti hain unkay rang tou Qosukaza sey bhi ziyada khubsoort hoty hain  c:

Taraqi Ka Raaz

                          TARAQI KA RAAZ (MAHWISH QUTUB)
       
            Har ze shaoor pakistani aj Pkistan ki halat par matam kar raha hai. mahsos hota hai k pareshaniyo ne charo taraf se hamai aan dabocha hai.har shaks in mushkilat se nikalne k liye naare buland kar raha hai.to kahi in masaeel k hal k liye baray baray mubahisay munaqid ho rahe hain.
            Magar aj hamai ye baat samaj laini chahiye k in naaro or mubahiso se hum kuch hasil nai kar sakte.jb tak hum taraqi ki asal kunji taleem ki ahmiyat se arasta nahi ho jate.
            Chalain iraq k mazi or haal ki kuch jhalkiya daikhte howe taleem ki ahmiyat ko samajte hain  
            Aik qadeem iraq tha jo sadyo tak zahn e insani par naqsh raha or jis ki bunyado se uloom o funoon k minaar uthe or aik jadeed iraq hai jo bush k hatho taaraj howa or iski raakh dunya k chahre par ibrat ki tarha mal di gai.
            Qadeem iraq science or technology ilm o fun or fikar o falsafay ki kookh tha. qadeem iraq nasl e insani ke urooj ki tareekh or insani fikar ka shahkaar tha lekin ye iraq tareekh ki gard mai kahi gum ho gaya ,waqt ki dhool mai kho gaya or ab aik iraq hamare samne hai zakhmi,sokhta,or murda iraq.wo iraq jo bush or toni blair ki barbaryat ka noha ban kar nasle insani ke zahno par dastak de raha hai.
            Ab aik sawal k kal k iraq or aj ke iraq mai kiya aisi tabdeeli ronuma hoi jo unhai is tarha pasti mai le aai? kal k iraq or aj k iraq mai kiyya faraq hai?us faraq ka naam hai "TALEEM".wo ilm jise science or technology kahte hain.ji ilm hi wo shay hai jise qadeem iraq ne apni zindagi ka mahwar banaya howa tha lekin phir ahista ahista wo ilm iraq se door hota chala gaya or nateeja hamare samne hai.                   Hamai b aj mubahiso or naaro mai parne ki bajaekhud ko or apno qoum ko isi ilm ki taraf ragib karna hai kiun k yehi wo wahid rasta hai jo sahi mani mai hamain mushkilat se nikal sakti hai.


Friday 10 February 2012


AN IDEA CAN CHANGE YOUR LIFE
HOW TO LIVE AN IDEAL LIFE

"THERE IS NOTHING SO POWERFUL AS AN "IDEA" WHO'S TIME HAS COME"
VICTOR HUGO

Opinions play important role in building up an Ideal Life. It depends upon a person that how he or she wanted to live his or her life. I find people crazy, curious running behind materialistic things. People just dont give a second to their thoughts; they rush to an idea which is nothing but a hopeless dream. People remain unsatisfied. Yet they know no rest. A little image may convince such troubled soul that happy life depends upon the art of living.



How to live an ideal life? What is important that is so much needed to lead our life in a proper manner? There are certain principles required for the achievement of an ideal life. Give your best in such a way that enrich the meaning of life.

Have you ever noticed that are you living a life full of happiness, joy and satisfaction? You are convinced from your life that you are smiling from outside but not really accepting the fact that are you happy from inside? Now a days a lot of people spend their time stressed out, worried that what things must be done to make safer and brighter future. Start doing things that makes you happy and satisfied. List yourself on the top by not ignoring yourself. First think about yourself that whats important for your life, it is good to take care of others but the fact is never forget about yourself. Explore yourself that who you are what are your needs. Every ideal life requires planning. Dreaming of happy life doesnt make life blissful.


A person who is truly passionate about his or her life, mission can make a difference in the world. When we look at successful people who have changed the world Muhammad Ali Jinnah, Nelson Mandela, Mahatma Gandhi, Richard Branson, Bono, Steve Jobs we often forget that once upon a time they were unknowns with little more than a dream.


Action speaks louder than words. So remember taking action is the most important thing in your life. Believe in yourself; find out the strength stored inside you. Interact to yourself, you will learn and realize how much capable you are. Just remember folks an idea can change your life.

Thursday 9 February 2012

"WAQT KI PABANDI"


Puri kainat ek nizam k tahat chal rahi hai qudrat k tamam kam apnay waqt per shru aur khatam hotay hai jaysa k chand aur suraj ka tulu aur ghroub hona, mosum ka tabdil hona waqat ki pabandi ki alla misal hai. Lafz waqt bazahir teen hurf per mushtal mil hai lekin mainay k lehaz se bohat wasi hai aur puri duniya in teen hurfo ki mohtaj hai. Sub se ahmam bat yeh hai k bohat se naymatein hum kho kar dubara hasil kar saktay hai laykin guzray howay waqt ka ek lamha bhi dubara hasil nahi kar saktay is hi liya kahan jata hai,
                         “GUZRA WAQT KABHI LOT KAR WAPIS NAHI ATTA”
Jis ne waqt ki qadar nahi ki wo duniya mai kuch hasil nahi kar sakta phir ek waqt per waqt bhi usay rondhta houa agay nikal jata hai. Jo log waqt ki pabandi kartay hai wo hamesha kamyab rehtay hai aur jo log isay kho daytay hai un ka anjam acha nahi hota. Waqt ki pabandi her ek k liay zaroori hai laykin khas tor per talib-e-ilm k liye is ki qadar-o-qeemat bohat ziyada hai q k wo mustaqbil ka maymar hota hai. Waqt per kam karnay walay talib-e-ilm kamyab rehtay hai. Lihaza humay waqt ki pabandi aur qadar karni chaiya takay hamesha kamyab rehay. Waqt ki pabandi ki sub se alla durs humay hamara mazhab Islam day ta hai jis k tehat ajj tak na kabhi subha dair se houi aur na kabhi raat jaldi houi aur puri duniya mai mukhtalif waqt mai din aur raat tabbdil hotay hai aur agar dunyawi misal darkar ho tu hamara parosi mulk china ko deakh saktay hai jehan per yeh ansar amm hai k agar koi bahi public holiday ho yeh kisi ki anniversery ho tu wahan per kam k shru mai ek min ki khamoshi aur ek ghanta izafi kam kiya jata hai khiraj tehsin pesh kar nay k liye aur app ba assani deakh saktay hai apna aur china ka muqam jo k hamaray badh wajood mai aya. Waqt Allah ki att karda ek bauth bari naymat hai,
                “AUR TUM APNAY RAB KI KON KON SI NAYMTO KO JUTHLAO GAY” 

Wednesday 8 February 2012

~INSAF~

                                                    ~INSAF~

Pakistani Qoom ney agar koi lafz sub sey xiyada souna hy tou woh hy INSAF,panch alfaz par mushtamil ye lafz apney andar kis Qadar sangeen masail ka haal rakhta hy is bat ka andaza is qoom sey xiyada aur kisi ko nahe, is qoom ney sab sey xiyada agar kisi chez ki talab ki hy tou woh hy INSAF,is mulk main kon nahe hy jo INSAF ki xiyadati ka sataya hova na ho,INSAF unky liye jo drone hamloon main maray gay,unky liye jo daishat gardi ka nishana bangae,unky liye bhi jo gayab kardiye gae aur INSAF mukhtara mai kay liye bhe,kon h jo is mulk main INSAF ka talabgar na ho,goor kiya jaye tou puri ki puri 17 core awam hi is ek INSAF kay anar ki bemar nazar ati h,har subha suraj apnay sath ek nae NAINSAFI lay kar janam leta hy,har roz kaien log NAINSAFI ki nazar kardiye jatay hain.

Is mulk ki siyasat ka nizam bhe ajeeb hy,chahy koi fooj ka ho ya siyasi jamaton ka member,sab he INSAF dilanay kay garz sey is siyasat main atay tou hain magar eqtaidar main anay ky bad sab sey xiyada xiyadti woh INSAF kay sath he kartay hain,NAINSAFI ki xiyadti is Qadar humaray wajod main utar chuki hy kay mulk main bachy bachy ki soch insaf kay hawalay sey ajeeb hy,INSAF jab hum mangain tou jaiez agar koi dosra mangy tou najaiez.hum tou itni mazloom qoom hain ky hum par aise jangain musalat ki gaien hain kay jin ka humain maksad he nahe pata kay kiun lari ja rahe hain,daishat gardi kay khilaf jang ko humari jang qarar dey kar hum par zabardasti jang musalat ki gae hy,halanky kisi bhe tor ye pakistan ki jang nahe thi,ye bat waza hy k 11sept ky waqiye main koi bhe pakistani mulawis nahe tha,haqeekat ye hy kay dollaron kay pojariyon nay mulk ko jang main jhonk diya hy,siyasatdanoo ney sirf apny faidy kay liye qoom ki izat aur axadi ko neelam kardiya,magar hum sirf is beymainey jang ka kiya rona roaie jahan drone attacks jaise galat soch ki maxamat tou ki jati hy magar unko roka phr bhe nahe jata,drone attacks sy pakistan ko 708 kay kareeb jani noksan hova hy,mutadid log zakhmi hovy jo kay pakistan ki aam awam thi,jin main sey sirf 8 military person thay.


Mera maqsad yahan ap sab ko ye batana tha kay INSAF is mulk main aise shakal ikhtiyar kar gaya hy kay agar main is key liye ye alfax istamal karon TALASH-E-GUMSHUDA aur ASHAD XAROORT tou galat na hoga,humari qoom kiya chati hy?woh sirf ixat aur apni jaan ka tahafooz chati hy aur INSAF kay sath azadi ki xindagi guzarna chati hy ........

MEHNAT MEIN AZMAT


14thJanuary 2012 Pakistan ki tareekh ka drakhshan baab hamesha k liye band ho gya. Is din Pakistan or duniya ne aik bohot hi honhar taliba Arfa Karim ko hamehsa k liye kho diya. Pakistan or duniya mein jahan jahan Arfa Karim k chahnay walay hain Arfa karim un sab k dil o dimagh mein hamesha aik yad ban kar rahay gi.Aj se taqreban 17 saal pehle Faisalabad k chotey se gaoun mein paida hone wali ye bachi khudadad salahiatoun ki malik thi or koi nahi janta tha k 9 saal ki mukhtasir si umer mein who apni mehnat or lagan ki waja se apnay mulk ki shanakht ban jaye gi. Is qabil e fakhr bachi ne 9 saal ki umer mein “IT EXPERT” ka darja hasil kar k duniya ko heran kar diya or ye sabit kia k ager lagan sachi ho tu insan bohot kuch hasil kar sakta hai.Jasay Arfa Karim  ne itni choti si umer mein aik maya naaz maqam hasil kar kay apnay na sirf apnay maa baap balkay apnay watan Pakistan ka naam fakhar se sar buland kia. Or sath hi ye sabaq bhi diya k agar zindagi mein kuch pana chahtay ho kuch banna chahtay ho tu mehnat karo, kion k mehnat mein azmat hai.