Saturday 21 April 2012

KAB TAK SAHAY GI SANF E NAZUK?

kahne ko to har koi ye baat janta bhi hai or manta bhi hai k sanf e nazuk par kiya jane wala tashadud intehai muzahmat ka hamil hai.lekin jab amal karne ka waqt ata hai to boht se aitraaf karne wale bhi inhiraaf kar baithte hain.
hamare maashre mai aurat ko jismani,zahni or jinsi teeno tarha k tashadud ka nishana banaya jata hai.gair taleem yafta tabqa aurto par  jismani tashadud karne mai mulawis paya jata hai.jabke taleem yafta tabqa bhi aurto par zahni tashadud karte hain or kabi jismani zarb daine mai bhi aar mahsoos nahi karte.
aurto par  tashadud ki bunyadi waja aurto ko kamzor samja jana hai.halanke mojoda dour mai urat ye baat manwa chuki hai k khuda  ne aurat ko mard ke  shana ba shana chalne ki tamam salahyato se nawaza hai.chahe wo maidaan ghar ka ho ,nokri ka ho,khail ka ho,taleem ka ho ya siyasat ka ho aurtain tamam maidano mai mard ke sath sath hain.or apni pahchan bana chuki hain.phir kiun aaj bhi hum aurat par kiye jane wale zulm ki kahaniya sunte rahte hain?kabhi kisi gharailo nachaqi ke naam par aurat ko jala diya jata hai  to kahi beti ko izzat k naam par qatal kar diya jata hai.kahi aurto ko hawas ka nishana banaya jata hai to kahi masoom choti bachyo k sath b ziyadtiya hoti hain.kahi islam ka naam le kar bhi aurat ko zulm ka nishana banaya jata hai.hamare maashre mai ye bhi daikha jata hai k aik aurat ki hi waja se aik aurat tashadud ka shikaar banti hai. jis mai saas baho k jhagre or jalan hasad wagera shamil hai. hamare deen mai aurat ka rutba boht buland rakha gaya hai. janat jiske husool ki khatir hi ye dunya aik imtehaan ki surat mai wujood mai ai,usi maqsad ko khuda ne aurat k qadmo talay rakh chora is se bara or kon sa rutba kisi insan ko diya ja sakta hai.
tasveer ka aik rukh ye bhi hai k aurat khud apne rutbe se na ashna hai na to inhe inke huqooq ke baray mai koi batane wala hota hai or na wo khud janna chahti hain.khud par hone wali ziyadtiyo  ko apna farz samaj kar sahti rahti hain. or awaz tak nahi uthati. tamam khubiyo ki markaz sanf e nazuk ka ye sawal hai kk mairi zaat se hi dunya ka karwa rawa dawa hai.phir akhir kab tk maire sath massshre ki haqeer shai ki manind sulook kiya jata rahega ?aakhir kab tak?

No comments:

Post a Comment