“Dost hain tou zindagi hai…”
“Dost hain tou zindagi hai”. Ye
jumla ye zahir karta hai k dost k bagair
zindagi bekar hai, fuzaool hai aur boring hai . Dost ALLAH ki taraf se diya
howa ek tohfa hai mai is baat se sehmat hoon k doston k baghair zindagi mai wo
maza nahin hota jo doston k sath honay
pe hota hai.
Dosti ek aisa amar rishta hai jo hamesha aap k sath rehta hai magar
achay dost ko parkhana , janna bohat mushkil hota hai aur ye jub he mumkin hota
hai jub tak aap is k sath waqt na guzaro. Aiesi dosti ki misal mai Moin Akhter
(late) aur Anwar Maqsood ki dosti se dungi . Bakawl Anwar Maqsood k ,
“Mai kalam (pen) hun aur Moin
meray kalam ki nib aur ab is kalam ki nib toot chuki hy.”
Yani Moin Akhter ki death k baad Anwar
Maqsood ne likhna chor diya hai.
Doston k sath waqt guzar kr he in ki adaton ka pata chalta hai dost wo
nahin jo dosti k daingain maray. Aaj kal k daur mai ek acha dost bohat mushkil
se milta hai or aaj kal log apnay mufad aur kaam ki gharz se dosti kartay hain
aur jab kam pura ho jaein tou aisay ho jatay hain jaisay k jantay he nahin aur
mushkil se jo dost khush qismat login ko miltay hain in ki koi kadar nahin
karta aur aaj kal k daur mai achay dost milna bohat mushkil hai.
Dosti ek bohat khubsurat rishta hai agar is ko achi tarah nibhaya jaye
tou ye hamesha sath rehta hai , ek achi yad ki tarah kyun k achay dost har
buray waqt mai sath detay hain aur akhiri waqt tak apni dosti nibhatay hain
aur sacha dost hamesha ap ka wafadar
rehta hai, ap k sath husn-o-sulook se
pesh ata hai.
Dosti k baghair zindagi aisi hai jaisay baghair sitaron ka aasman,
baghair noor ki ankhein,waqai dost hain tou zindagi hai. Aur baat school life k
doston ki ho tou ….phr maza he aur hai
kiu k school life k dost ziada paidar hotay hain or remembering bhe bht
hotay hain. Aakhir mai yeh kahon gi k………….
“dost hai tou zindagi hai or
zindagi hai tou dost hain kyun k sacha dost zindagi ka sacha sathi hota hai.”
No comments:
Post a Comment