Puri kainat
ek nizam k tahat chal rahi hai qudrat k tamam kam apnay waqt per shru aur
khatam hotay hai jaysa k chand aur suraj ka tulu aur ghroub hona, mosum ka
tabdil hona waqat ki pabandi ki alla misal hai. Lafz waqt bazahir teen hurf per
mushtal mil hai lekin mainay k lehaz se bohat wasi hai aur puri duniya in teen
hurfo ki mohtaj hai. Sub se ahmam bat yeh hai k bohat se naymatein hum kho kar
dubara hasil kar saktay hai laykin guzray howay waqt ka ek lamha bhi dubara
hasil nahi kar saktay is hi liya kahan jata hai,
“GUZRA WAQT KABHI LOT KAR WAPIS
NAHI ATTA”
Jis ne waqt
ki qadar nahi ki wo duniya mai kuch hasil nahi kar sakta phir ek waqt per waqt
bhi usay rondhta houa agay nikal jata hai. Jo log waqt ki pabandi kartay hai wo
hamesha kamyab rehtay hai aur jo log isay kho daytay hai un ka anjam acha nahi
hota. Waqt ki pabandi her ek k liay zaroori hai laykin khas tor per talib-e-ilm
k liye is ki qadar-o-qeemat bohat ziyada hai q k wo mustaqbil ka maymar hota
hai. Waqt per kam karnay walay talib-e-ilm kamyab rehtay hai. Lihaza humay waqt
ki pabandi aur qadar karni chaiya takay hamesha kamyab rehay. Waqt ki pabandi ki
sub se alla durs humay hamara mazhab Islam day ta hai jis k tehat ajj tak na
kabhi subha dair se houi aur na kabhi raat jaldi houi aur puri duniya mai
mukhtalif waqt mai din aur raat tabbdil hotay hai aur agar dunyawi misal darkar
ho tu hamara parosi mulk china ko deakh saktay hai jehan per yeh ansar amm hai
k agar koi bahi public holiday ho yeh kisi ki anniversery ho tu wahan per kam k
shru mai ek min ki khamoshi aur ek ghanta izafi kam kiya jata hai khiraj tehsin
pesh kar nay k liye aur app ba assani deakh saktay hai apna aur china ka muqam
jo k hamaray badh wajood mai aya. Waqt Allah ki att karda ek bauth bari naymat
hai,
“AUR TUM APNAY RAB KI KON KON
SI NAYMTO KO JUTHLAO GAY”
Eraj beta !... Think out of the Box !
ReplyDeleteok miss next tym kuch or acha soch kr post krungai INSHA ALLAH .
ReplyDeletenot bad agar achi examples or hoti tu ziyada better hota
ReplyDeleteYup u r right
Deletekoi se 2 ashaar koi btaye ga about waqt ki pabandi
ReplyDeleteBht mistakes hai laIkin overall msg acaacha hai
ReplyDeleteIt's a good essay but I want more information about nizam-e-kainat on waqt ki pabandi but thnx for this😁
ReplyDelete