Ikeeswi sadi(21st
century) k is dor mein agar hum dekhain tu duniya mein be-inteha taraki hoi hai.Chahay
woh taraki science ki ho ya ilm-o-adab ki ho or itni hi taraki karlene k baad
hum ne apni hi taraki ko ma-a-ashi zariya bana diya.Jaise science ki taraki
computer hai.Or is saari taraki ka raaz taleem hai jiske zariye koi bhi insaan
ya koi bhi qoum taraki karti hai kyun k
hamara aesa manna hai k jab tak
hum seekhne ke marahil se nahi guzrainn gay hum kuch nahi seekh paayen gay or
is seekhne k marahil se guzarnay ka naam taleem hai jisko humnay baichna shuro
kardia hai.Aj ke is dor mein ilm ho ya taleem sirf or sirf kamai ka zariya ban kar reh gaya hai.kahin per
talba agay nikal janay ki dorh(race) mein ya behtreen college or university
mein admission k liye taleem ko khareedte hoye nazar atay hain tu kahin per
asatza taleem ko farookht kar rhay thote hian or yeah sub hamare sath isliye ho
raha hai k hamary andar sai ehsas e zimaidari khatam ho gaye hai.Hamary andar
se ye ehsas khatam hogaya hai k talim hasil karnay ki chez hai baichny ki nahe.Talim ki ehmiyat ka andaza is
baat se hota hai k isko hasil krnay k liye khud hamary piyary Nabi (S.A.W) ne
farmaya hai k “ilm hasil karo chahy iskay liye tumhen chen(china)he kiun na
jana paray” likin hum ne is ilm ko hasil karna tou door balkay isko apnay
mashray ki tarah 3 hisoun mein takseem krdia hai.Jaisa k (Cambridge system)mein
sirf wohi bachay parhtay hain jin k ghar walay is system k ikhrajat ko uthanay
ki haisiat rakhtay hain.Middle class loog private idarun(institutes) mein parhtay
hain or nichlay tabkay(lower class) k loog govt. idarun mein parhtay hain jahan
koi (check and balance) rakhnay wala nahe hota.Hum ne or humary mulk ne azadi hasil
karny k baad taraki tou karli likin ye bhol gaye k is taraki ko hasil krnay ka
raaz talim tha.Jisko ajj hum ne apna zariya e amdan bana dia hai.Hamary sath
azadi hasil krnay wala hamara parosi mulk (India)taraki kr k kahan pouhanch raha
hai or hum aj bhe wahin khary hain jahan 64 saal pehly thay or ye sub kharab
talimi nizam ki wajah se hai.Humri hakoomat k pass itna time nahe k woh is
nizam ko behter banana k liye kuch iqdamat karain kion k humaray jo hukumran
hain who khud talim ki ahmiat se na ashna hain kion k ya tu who jantay nahi
hain ya jan na nahi chahtay k koi bhi mulk usi soorat mein tarraki hasil karta
hai jab woh apnay mulk k talimi nizam ko behter se behter banata jata hai. Or
humary is mulk mein behter talimi nizam ki kami hai kion k hum aik aese mulk
mein rehtay hain jahan talim se le kar murday ka kafan tak bikta hai…
No comments:
Post a Comment