Wednesday, 15 February 2012

Marium Or Us K Khawab….


Aaj   jo  wakia  mein  biyan  karnay  ja rahe  hoon  woh  aaj  se  kuch  arsay  pehlay  tak   mere    liye  ahmiat  ka  hamil  nahe  tha  likin  aaj  k  mojuda  halaat  main  jab  maashi tangdasti (Economical Crises)   apnay  urooj  per hai, toh mujhe is waqiye ki ahmiat ka andaza hota hai k ye kahani humaray mashray(Society)  mein basi har us Marium ki hai jisnay apany maa bbap se parhnay ki khwahish ki or school mein dakhla(Admission) le lia likin us waqt Marium ye nahi janti thi k uski ye khawahish Marium se us hi ki zindagi cheen lene ka zariya ban jayegi.Jab Marium school jana shuro karti hai toh woh buhut khush hoti hai or sochti hai k ub usko apnay khwaboun ki tabeer mil jayegi. Isi khushi mein woh daswi (10th) jamat tak taleem hasil kar leti hai. Jab Marium ko apni manzil kareeb nazar arahi hoti hai toh aik din uska baap kehta hai k ub mere pas itnay wasail (resources) nahi k tumhay mazeed taleem dilwa sakoun.Isliye Marium ka baap uski shadi apnay jasay hi aik ghareeb gharanay mein kr deta hai.Jab Marium shadi k kuch arsay baad maa k darjay per faiz hoti hai tu uski ankhain apni beti k liye wohi khwab bunnay lagti hain jo khawab Marium ne kabhi apnay liye dekhay thay. Farq sirf itna tha k pehle woh khwab Marium apnay liye dekha karti thi or ub apni beti Rabia k liye dekhna shuro kar diye thay kion k woh chahti thi k uski beti ka mustaqbil bhi uski maa ki tarhan tareek na ho.Likin Marium apni is khawahish ko pora nahi kar pati kion k bohut jald Marium ko ye haqiqat samajh mein ajati hai k us k khawaboun ki koi tabeer nahi.Kion k Marium k baap ki tarhan Rabia k baap k pas bhi itnay wasail na thay k woh apni beti ko aik behtar mustaqbil de sakay.Or phir bil akhir Marium apni ghurbat bhari zindagi se tang akar aik din apna or apni beti ka taluq is zindagi se hamesha k liye khatum kar deti hai.Kion k Marium ye haqiqat jaan gai thi k usnay taleem hasil kar k khwab dekhna toh seekh liye likin ye na seekh saki k  khawaboun ko pora kasay kartay hain. Aj Marium or uski beti toh is dunia se chali gai likin humaray liye ye sawal chor gai k unka kia qasoor tha? Behtar zindagi k khawab dekhna ya taleem hasil karnay ki khawahish karna?

Ye Marium ki woh kahani hai jisnay mujhe ye sochnay per majbor kiya k agar hum taleem hasil karain tu us k zariye poray honay walay khawab dekhna chor dain? Ya phir apnay khawaboun ki tabeer ko pora na hote dekh kar Marium ki tarhan apna taluq is zindagi se hamesha k liye toor dain!! Ye woh sawal hain jin ka jawab kisi k paas nahi, na humaray paas or na is mashray k paas. Likin mera sawal is hakomat se ye hai k kia in k pas bhi itnay wasail nahi k woh in logoun k khawab poray kar sakay…… 

7 comments:

  1. Nice One ...But reality is that ... Now a days dreams will become the property of Lett Class...and what should government do ...who even not care about the health of people ... do u think they care the dreams of Education ...Impossible ...Well hope for the Best !!!

    ReplyDelete
  2. hmm,poini aha raise kiya apne bt khuwab daikhna nahi chorna chahie,maryam apne khuwab poray nai kar pai bt kisi or k khuwab zaror poray ho sakte hain

    ReplyDelete
  3. nyc amal.... yahan maryam k khuwab tou poray nae ho sakhaye per hm mal kr kisi or k khuwab ko pura kr saktay hain (INSA ALLAH)

    ReplyDelete
  4. thanks maha nd eraj for understanding my point of view)

    ReplyDelete
  5. Ahan.... Very well written.. Amal.. nice =)

    ReplyDelete
  6. thank you miss mein wait kr rhe the k aap kab read karain ge mera blog thank you miss:)

    ReplyDelete