INSANI KHUAISHAT KHATAM KIU NAHE HOTI. . . ???
Agar is mazmoon k liye mai apna kalam uthao kuch likho tou meray lafz khatam ho jaen gaye par insani khuaishat kabhi khatam nai hon gai .
Mandraja bala jumla insani fitrat ki sahe akasi karta hy kyun k insan ka kisi haal mai mutmain hona mushkil hy .Maazi , Haal , Mustakbil in teen dauron mai insani zindagi ki khani posheda hy . Maazi se haal mukhtalif aur haal mustakbil se alag hoga aur mustakbil mai kya hy ???ye hum nahe jantay hain .Lekin hamari kuch khuaishat , arzoo ,tamanaien hamaray azaim jo hamein zindagi ka hosla dati hain aur jab bargah-e-ilahi mai dua k liye hath uthae jatay hain tou yehi khuaishat dua ban kar labon par a jati hain aur hamay yakeen hota hy k duaein puri ho jayen gai tou har cheez achi lagti hy aur ALLAH se yakeen-o-aitamad mai izafa hota hy . Lekin ek manfi surat hal bhi hoti hy k insan keh uthta hy…….
HAZARON KHUAISHAY AISI K HAR KHUAISH PE DUM NIKLAY BOHAT NIKLAY MERAY ARMAN MAGAR PHIR BHI KAM NIKLAY
Is liye kah jata hy k insan na shukra hy .Insan ki khuaishat ka jo na khatam honay wala silsila hy wo azal se hy aur abad tak rahe ga . Jab insan dunya mai ankh kholta hy tou dunya ko dekhta tou is ko har cheez apni taraf attract karti hy wo sochta hy kash meray pas ye sub kuch hota jo meray samne walay k pas hy magar kabhi ye nahe sochta k samne wale se ziada meray RUB nay mujhe ata kiya hy . Magar insan ki khuaishat khatam hi nahe hoti wo har waqt khub se khub tar ki talash mai rehta hy aur buland mukam hasil karne k liye koshish mai lag jata hy aur sach kaha hy k :
“Shaitan insan ka khula dushman hy.”
Darasal shaitan insan ki fitrat ma hy ,wo insan k nafs ko war ghalata rehta hy . Jis se insan k zehan mai nai nai (new) khuaishat janam leti hain .
Khuaish aisi karay jis ko hum pura kar sakay . Mai ye manti hon k khuaishat aur azaim jeenay ka hosla paida kartay hain lekin hamara mazhab hamein ye nahin sikhata k apni khuaishat mai apni had se guzar jaein aur apni zaroraton ko najaiz tarikon se pura karay.
Ab sawal ye paida hota hy k insani khuaishat khatam kyun nahin hoti ? Wo is liye kyun k insan ne apni zindagi ka masqad dunya ko bana liya hy wo ye bhool raha hy k khuaishat se bhari zindagi tou Aarzi zindagi hy , magar hamesha rehne wali zindagi tou Akhrat ki zindagi hy .
Aakhir mai ye kehna chaon gi k :
“Kush kismat insan wo nahin jis k pas dunyawi dolat hy bulkay khush kismat insan wo hy jis k pas deeni dolat hy .”
nyc eraj
ReplyDeletetnx amal:)
ReplyDeleteits fact ........and good job
ReplyDeletetnx dear :)
ReplyDeleteCheck the spacing between lines.
ReplyDeletecorrect your wahid Jama'a...
Dauron nahi :Adwaar: hota hay.