"HOTA HAI SHAB O ROZ TAMASHA MAIRE AGAY" ........................ galib ka ye misra jab sunti hn to maire dil main utar jata hai.zara ap bhi gour kar k daikhain ap ko bhi yaqenan yehi mahsos hoga jaise hamare aas paas aik tamasha sa ho raha hai.hum sab kis taraf ja rahe hain, kiya kar rahe hain, or kiun kar rahe hain ye kisi ko nai maloom.hazaro main se chand aik hi honge jinhe waqi maloom hoga k wo maashray mai aik fard ki hasiyat s,mulk mai aik mulki ki haisiyat se or dunya mai aik insan ki haisiyat se kar kiya rahe hain.
Chalian sab ko choriye main or ap khud se sawal karte hain k janab hum yahan is dunya main kar kiya rahe hain? ......................... ab jo jawab mje maire andar se mosool ho raha hai wo hai 'TIME PASS".ji ,hum sb yahan timepass hi to kar rahe hain or jb dunya main anay k maqsad ko sirf time pass hi bana liya jaiga to shab o roz tamasha to hoga hi.
Hamari is be maqsad zindagi ki sab se bari waja ye hai k hum apni zindagi ko le kar koi mansoba bandi nahi karte.or koi bhi amal jis mai mansoba bandi shamil na ho wo amal aik tamasha or shugal hi ban kar rah jata hai.hamai chahiye k hum subh o sham mai se chand lamhaat nikaal kar apni zindagyo ka ahtisaab karain or zindagi guzarne k liye aik lahe amal tayyar karain .lahe amal ki is fahrist mai sb se pahle apne liye aik wazah maqsad ka taaiun karain,apni fitrar mai tasalsul shamil karain or kahii ko khud se door karain,haqiqat pasandi ko apnai,rozana ka aik target muta in karain,or is apne target k liye aik hodood ka bhi taaun karain or aakhiir mai is fahrist mai ye bhi shamil karain k chahe kuch bhi ho jai hum apniis mansoba bandi k khilaaf nahi jainge or is par pabandi se amal karaige.phir daikhiyega ye laah e amal hamain kis tarha aik bamaqsad insan or ba maqsad shahri bana daigi
Yaqeen janiye apne ap ko or apne target ko jan laine k baad zindagi mai jo energy mahsoos hoti hai,jis taskeen or khushi ka ahsaas hota hai wo is tarha sirf time pass karne mai nahi.aik baar aisa kar k to daikhte hain jab hi to hum jaan painge jeenay ki asal lazat warna to yu hi din guzarte jainge or hum jeenay ki is haqiqi lazzat ko hasil kiye bagair hi hum is dunya se chalay jainge. asal musarat se mahroom rah jaingi. ZARA SOCHIYE!!!!!!!!!ITNI BARI MAHROOMI!!!!!!!!!!!!!
This comment has been removed by the author.
ReplyDeletebht khub maha...
DeleteBohut khoob =)
ReplyDeletetrue . . .
ReplyDeletevery nice...hum sochte he nahi hain
ReplyDelete