“KHWAHISHON KAY MOTI”
“Har rox subha jab meri ankh khulti hy who fajar ka hi waqt
hota hy,fajar ki azan ki dheemi awaz meray kanoo main sunai dey rahi hoti
hy,jab main puri tarhan sey nend ki agoosh sey bahar ati hun tou phir mujhy
ahsas hota hy kay aj phir main apny lashaoor main us he ki talash main thi,bas
wahi anjan raston main usay dhondna,jab usay paa lena tou har bar paa kar us kay laams ko mehsoos karny
ki chah main us kay wajood ko andheri parchaeyon main kho dena,aur phir anjan
raston par kharay bas usko pukarty rahna.meray hisay main aj tk bas yahi tou aya
hy,mujhy lashaoor main usay khoodeny ka ghum nahe hy,ye ek lashaoor he tou hy
jis ki badoolat main usay dakh pati hun,uski mojudgi ko mehsoos kar pati
hun,usay chunay ki koshish tou karti hun,kiya hova jo chu nahe pati,uski zaat
kay nazdeeq lashaoor main guzray hovay woh chand lamhy kiya qeemat rakhty hain,who main he
janti hun.
Mera bas chalay tou us ek lamhy ki khatir taa-umer
soojaon,bht takleef hoti hy haqeeqt jan kar,kay who sach main mojud nahi tha,dekha
jae tou mera lashaoor meray shaoor sey kahen behtar hy,haqeeqi zindagi main tou
us ka mil jana mumkin nahe,magar phir
bhi mujhy har lamha us hi ki talash
hy,ye jantay hovy bhi kay kuch hasil nahe hona.
Us khwab sey nikalny kay bad main roz marha ki tarhan apny
ap ko is teez rafter zindagi main gum kar deti hun kuch waqt key liye uski
talash ko bhula key magar uski soch hamesha meray zahan main mojud hoti
hy,bilkul aise jaise uski soch ki waja sey meri zindagi qaeem hy.”
Ye tha ek kahani ka chota sa khaka,ap jab isay parh rahy
hongy tou yaqeenan is kahani ko apny
kahen na kahen apni zindagi sey mail khata hova paya hoga,ye kahani is
duniyan main mojud har dosray shakss ki zindagi sey bht gehra talooq rakhti hy,koi kisi ki zaat key hasool ki
talab karta hy tou koi duniyawi asaeesh ka kowhiesh mand hota hy,insan apni
khowhishat ka itna deewanawar talib ban jata hy kay usko isky agay aur kuch
dekhae he nahe deta,yahan tak kay irdgird fiza main bikhray khubsurat khusiyon
kay rang bhi nahe.
Akhir hum insan apni khushiyon kay mehlay waqu ko itna
mehdud kiun bana letay hain,jab kay khushi ka ansar tou har lamhy main mojud
hota hy,hontoon sey bayan hoty har lafz main khanakta hy,ankhon ko dekhny walay
har manzar main lehekta hy,tou phir kiun kar hum insan mehez sirf ek chez kay
gird apni khusiyon ki lakhiron ko khainch dety hain aur apnay irdgird bekhray
khushiyon kay rangon ko sard oos kay andar daba dety hain,aur is ek khwahish ki
taqmil na hony pay hum har roz apny naseeb main anay wali khushiyon ko bari
bedardi sey thokraty rahty hain,itny nadan ban jatay hain kay is zid kay natejy
main baray baray nuksan kar bethty hain,sach tou ye hy kay jazbat khushi kay
hon ya ghum kay insan ka in dono par ikhtiyar hy kay who kis rang ko khud par
havi karta hy,waise khusiyon kay in rangon kay sath khailna bhi ek fun hy,is
fun main maharat rakhny wala insan khub janta hy kay who mahool main mojud
rangon ko kis tarhan apny andar jaazb karay kay who usky andar jaami oos ko
maat dy kar udasi kay jazbat par haavi ajaien .
Insan apni khwahish ki taqmil kay liye Allah kay hazoor
baraha duaien mangta hy girgirata hy,magar jab musalsal mangay janay kay
bawajud bhi uski dua qabool nahe hoti tou woh apny rab say naraz hojaya
hy,magar insan ye kiun bhul jata hy kay iski khwahish say Allah ko dilchaspi
nahe hy,who uski taqdeer apni marzi kay mutabik banata hy,usay kiya Milan hy aur
kiya nahe milna hy uska faisla who khud karta hy,jo cheez apko milna h yap uski
khwahish karain ya na karain who ap he ki hy who kisi aur kay pas nahe
jaege,magar jo cheez apko nahe milna hy who kisi kay pas bhi chali jae woh ap kay
pas nahe ayege,insan ka masala ye hy kay woh janay wali cheez kay malal main
mubtila rahta hy anay wali chez ki khushi usay masroor nahe karti.
Agar insan ek khwahish kay adhoorey rah janay par jeena
choor denay key bajae us khwahish ki taqmil ki talab hi chordy aur usko apni
soch aur weham-o-guman sey he nikal kar phenk dey tou us khwahish ki ahmeyat raati
bhar bhi na rahay ge,lekin aise mazbot soch kay liye insan ka apny naafs par
kaboo hona bht zaroori hy,agar hum nafs par apni gireft ko mazbot kar laingy
tou xindagi main anay wali koi bhi taalkhe hamary wajud par asar andaz na hoge
aur humari shaksiyat toth photh ka shikar hony sey bach jaege.
Mera maqsad yahan ap sab say apni ek adna se soch aur ek
mazbot iraday ko share karna tha kay hum kiun kar apni khwahishon kay thaal
main aisey lahasil moti chun letay hain jo siwae humain dukh kay aur kuch nahe
dety,hum ye azaam kiun nahe kar lety kay Allah ney jo kamiyabiyan humaray
muqadar main likhi hain,who zaroor humaray haq main behtar honge,kiun kay jo
khushiyan gair mutawaqa toor sey hasil hoti hain unkay rang tou Qosukaza sey
bhi ziyada khubsoort hoty hain c:
Brilliant!
ReplyDeletethank yew sOo much maam c:
Deletewell done rushi... :)
ReplyDeletethankshiee MeaOow :)
DeleteAwesome
Deletexactly good one rushi
ReplyDeletebht acha likha rush gud :)
ReplyDeleteacha laga parh kar good
ReplyDelete