TARAQI KA RAAZ (MAHWISH QUTUB)
Har ze shaoor pakistani aj Pkistan ki halat par matam kar raha hai. mahsos hota hai k pareshaniyo ne charo taraf se hamai aan dabocha hai.har shaks in mushkilat se nikalne k liye naare buland kar raha hai.to kahi in masaeel k hal k liye baray baray mubahisay munaqid ho rahe hain.
Magar aj hamai ye baat samaj laini chahiye k in naaro or mubahiso se hum kuch hasil nai kar sakte.jb tak hum taraqi ki asal kunji taleem ki ahmiyat se arasta nahi ho jate.
Chalain iraq k mazi or haal ki kuch jhalkiya daikhte howe taleem ki ahmiyat ko samajte hain
Aik qadeem iraq tha jo sadyo tak zahn e insani par naqsh raha or jis ki bunyado se uloom o funoon k minaar uthe or aik jadeed iraq hai jo bush k hatho taaraj howa or iski raakh dunya k chahre par ibrat ki tarha mal di gai.
Qadeem iraq science or technology ilm o fun or fikar o falsafay ki kookh tha. qadeem iraq nasl e insani ke urooj ki tareekh or insani fikar ka shahkaar tha lekin ye iraq tareekh ki gard mai kahi gum ho gaya ,waqt ki dhool mai kho gaya or ab aik iraq hamare samne hai zakhmi,sokhta,or murda iraq.wo iraq jo bush or toni blair ki barbaryat ka noha ban kar nasle insani ke zahno par dastak de raha hai.
Ab aik sawal k kal k iraq or aj ke iraq mai kiya aisi tabdeeli ronuma hoi jo unhai is tarha pasti mai le aai? kal k iraq or aj k iraq mai kiyya faraq hai?us faraq ka naam hai "TALEEM".wo ilm jise science or technology kahte hain.ji ilm hi wo shay hai jise qadeem iraq ne apni zindagi ka mahwar banaya howa tha lekin phir ahista ahista wo ilm iraq se door hota chala gaya or nateeja hamare samne hai. Hamai b aj mubahiso or naaro mai parne ki bajaekhud ko or apno qoum ko isi ilm ki taraf ragib karna hai kiun k yehi wo wahid rasta hai jo sahi mani mai hamain mushkilat se nikal sakti hai.

nice choises ov wordx maha :)
ReplyDeleteHmmm nice.... I really love it + i got help for my essay
Deletegood job!
ReplyDeletesahi bat hai hmlg abi tk sirf mubahise me hi lge huye hain k pichle itne log mulk ko bech k kha gye agay kon kahane wala hai . . .
ReplyDeletei lyk it !
Aaaalaa!
ReplyDelete