Thursday, 1 March 2012

ZINDA DILI YA ...................BE HISI?

Aj t.v par phir main ne wohi jumla suna."hum itni mushkilat k bawajood aik zinda dil qoum hain"
mje samaj nahi ata k bum dhamako mai marne walo ko bhol jana,target kiling mai marne walo k ghar walo ki aaho pukar ko bhol jana,gareeb bacho k bagair chapal k pairo se riste howe khoon ko daikhkar bhool jana,sakht sardi mai in bacho k badan par aik halke kapre ko daikh kar bhol jana,inhe taleem hasil karne ki umar mai mazdori karta daikh kar bhool jana,aurto par hone wale tasadud ko bhol jana,phool jaisi bachyo ko ziyadti ka nishana bana kar in k tukray kar daine ko bhool jana,bhhok mitane k liye kachre mai giza talash kartebacho ko bhool jana,in sab bato ko bhool kar apni zindagi main magan ho jane ko zinda dili kahainge ya be hisi .please ap hi jawab dain maire is sawal ka. k agar hum in sab bato ko faromosh kar daine ko zinda dili ka naam daite rahe to kon in sab masaeel ka hal taalaash karega.kiya kisi bhi sanihay k liye kuch din ki muzahimat,baat cheet ya behas kafi kafi hai .
                       Upar to mai ne sirf atay mai namak k brabar masaeel ka zikar kiya hai.agar kuch waqt nikaal kar  hum un tamam masaeel ka jaiza lain jin se hum do chaar hain to samaj jainge k kis tarha hamari be hisi ko zinda dii k nam par thapki de de kar sulaya ja raha hai is dar se k kahi hum jaag gaye to zalimo se zulm karne ki azadi na chin jaye.
                      App hi bataye k agar khuda na khuwasta hamare ghar mai koi mushkil aan paray , to jab tak is mushkil ka hal nahi nikal ata ghar ka har fard pareshani mai hi mubtila rahta hai or agar in halaat mai ghar ka koi fard ghar walo ki pareshani ko bhool jai ,unki takleefo ko nazar andaz kar k apni zindagi magan ho jai or khuushya b manaye to hum usay kiya kahainge,ZINDA DIL YA PHIR BE HIS?

3 comments:

  1. this is some serious blog maha:) very well written :)

    ReplyDelete
  2. sahi kaha maha lekin zinda dili is lye kaha hoga k shyad itna kuch sehne k bad hum ab tk zinda kese hain hum bi kyu nahi mar jate ? ye point hoga unka ?

    ReplyDelete