EHSAAS.......
Zindagi k Roz-o-shab sub he guzartay hain kuch hans kar, to kuch ro kar, kuch khel kar aur kuch is na samjhi-o-nadani mai k wo zindagi ko guzaar rahay hain . Lekin dar haqeekat zindagi in ko guzar rahi hoti hai.
Kisi ko sub kuch mil jata hai aur kuch tou ek cheez hasil karnay k liye duniya chor detay hain magar zindagi ki haqeekat pouchini ho tou is se poocho jis ko zindagi ne wo khusiyaan wo sub kuch nahin diya jin ki in ko zaroorat thi aur zaroorat hai. Lekin wo phir bhi zinda hain aur koshan hain zindagi mai khusiyun ki talaash k liye. Hamaray mashray k aisay bohat se kirdar hain lekin zindagi ki tez raftari mai hum sub ko nazar andaaz kartay hain kabhi kisi ne is “Bachay” k kirdar ko dekha hai jo hamaraymashray ka hissa ho kar bhi hamari nazro se oojhal hai, is bachay ki umar khelnay kudnay ki hai,zindagi k mazay layna ki hai,parhanay ki hai,nai(new) chezoo ki farmaish karnay ki hai,nakhray kar nay ki hai,rath ko sotay waqat khaniyaan sunay ki hai… lekin ye wo bacha hai jo apnai kam umari se hi mehanat mazdoori karta hai. Ye bacha subha ko akhbar beachta hai hotel mai maiz(table) saf karta hai, logo k jootay aur bartano ko ikhata karta hai,Magar is bachay ki bhook, is ki bebasi,bechani kisi ko nazar nahi ati na he is ki zindagi mai mouj masti hai na doston k sath, na kisi cheez ki farmaish hai, isay sirf fikar hai te apne pait k. apne pait ki aag bujhane ki is ki zindagi sirf ustad ji ustad ji se shury hoti aur isi per khatam jo jati hai.
Kya kabhi kisi ne soch hai k ye bachay ne khana khay hai? Kiay is ko kuch chaiya tu nahi? Kiya yeh bemar tu nahi koi is bachay ki taraf deakhy tu shayad wo bhi is ki zindagi asan karday magar kon karay ga? agar koi is bachay ki mada karnay k liya sochay ga bhi tu dusray lamhay apnay bacahy ki farmaisho ko pehlay tarjhee dayga.
Ye kaisi insaniyat hai agar ek naki app ki apni apni zindagi badal day tu zindagi ka asal maqsadpura ho jay ga, ye bat sirf aur sirf EHSAAS ki hai agar hum apni khusiyon ko in kirdaro k naam karday jin ki zindagi jhalat aur gurbat k andharo mai sisak sisak kar mout ki taraf barh rai hai tw in kirdaron ki nai zindagi mil jae gi aur is bachay WAHAB ko bhi ek nai zindagi mil jae gi…..
No comments:
Post a Comment