kabhi gour se sunna ye zameen sadain daiti hai.hum se kai sawal pochti hai.ye zameen pochti hai k ;
aa maire logo kahan gai maire liye tmhari wo mohabat jo k jab mai tmhare pas nahi thi to tm mjse karte the. aj jab k main tmhare pas hon .to kahan chali gai wo mohbt ?
ye zameen hum se pochti hai k;
koi apno se bhala aisi be rukhi barat ta hai kiya? aaj mai tarasti hon apne us parcham ko daikhne k liye jiske saaye talay mutahid ho kar tmne mje hasil kiya tha .main jahan nazar uthaon mje rang birangi parcham(mukhtalif siyasi jamato k jhanday) dikhai daite hain.
lekain daikho k main to ajj bhi tmhari itni kotahiyo k bawajood tmhe mohabat daiti hon.tmhare itne zulm k bawajood mai phat nahi jati.tmhe anaj daina chor nahi daiti.tmse apni pahchan cheen nahi laiti.or aik tm ho jo mj apni ko izzat daine k bajai gairo k naam ki maala japte ho unhe izzat daite ho.tm mano ya na mano tmhari pahchaan to marte dam tak sirf mj se hi rahegi.
zara socho k jab tmhari itni be rukhi k bawajood mai tmhe itna kuch daiti hon to tmhari mohabbat pa kar main tmhe kiya kiya nawaz dongi.balke main to isi intezar mai ghulay ja rai hon k kab tmhari ankhain khulain ,kab apne paraye ka faraq samjo or kab mjhe dil se apna tasleem karo to main apni dolat tm par nichawar kar sakon.
tm mje apnayat de kar to daikho, mairi mohabat ko apne dil mai basa kar to daikho phir hi to jaan paoge k ye zameen badle main tmhe kiya kiya de sakti hai.tmhari sari pareshaniyo ka hal muj se mohabbat mai chupa hai.
par maire logo......................... main gamzada zaroor hon lekin ab bhi maira bharosa tm par qaeem hai .aik umeed ki kiran aj bhi mje dikhai daiti hai.k maire apne boht jald neend se bedaar ho jainge.mje wo sab dainge jis par maira haq hai or muj se wo sab lainge jo unka haq hai.
maire logo mairi aik iltija hai tmse! maira ye bharosa tootne mat daina,ye umeed ki kiran bujhne mat daina!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
nycly written:)
ReplyDelete