Pichlay dino meri ankhoun k samnay se aik aesi khabar
guzri jis nay mujhe ye sochnay pe majbor krdia k “KIA HA IS MASHRAY MEIN AIK
AURAT KA MAQAM?” Woh khabar kuch ye thi k Baloch Colony ki rihaisha Sana k sath
3 larkoun ne mil kar ijtimai ziadti kari. Jis k natijay mein Sana ne mashray mein apna woh maqam jo har aurat ka
haq hota hai, kho chuki hai. Ub Sana jb tak zinda rhay gi aik be maqsad zindagi
guzaray gi.Kion k humara mashra aj bhi aesi auart ko aik baizzat zindagi
guzarnay ka koi haq nahi deta chahay woh aurat mazlooom hi kion na ho. Yahan
per ye sawal paida hota hai k Kia
qasor tha Sana ka ya mashray mein basi har us aurat ka jo zaidti jasay aziat
naak amal ka shikar hoti hai? Ya phir un aurtoun or larkioun ka jo bus stop per khari
apni matlooba bus ka intizar krnay k sath sath mardoun ki isharay bazi or
wahiat fikray bazi ka bhi samna kar rahi hoti hain, bebasi or majbori k alam
mein. Kion k who janti hain k humaray is mardoun se bharay mashray mein uski
awaz koi nahi sunay ga balkay uski awaz ko daba dia jaye ga ya usi ko morad e
ilzam thehraya jaye ga. Ye waqiyat na tu farzi hain na hi jhot per mabni hain.
Balkay in waqiyaat ne humari haqiqi zindagi se janam lia hai or her aurat ko
sochnay per majbor kia hai k Kia hai is mashray mein humara maqam or hesiat?
Sirf itni hi hesiat hai aurat ki mard k hathoun istimal hoti rahain ya mard ki
buri nigahoun ka nishana banti rahain ya phir un k ghatiya jumloun ka samna
karti rahain? In sab batou pe ghor karain tu humay ye andaza hota hai k humaray
Allah or Rasool ne tu aurat ko uska maqam dia hai likin humaray mashray or mulk
ne islami talimat se door ho kar aurat se uska who asal maqam cheen liya. Or is
zalim dunia mein jeenay k liye ya izzat k sath rehne k liye mard k sath ka
mohtaaj bana dia. Aurtoun k haq k liye larnay walay tu bht hain likin un ko
unka asal maqam dilanay wala koi nahi.Is mulk or mashray mein har woh aurat
tanha hai jis k sath mard ka sath nahi.Aj k is zamany mein jb insane jaan ki
koi ahmiat nahi rahi wahin aurat ko bhi is cheez ka yaqeen nahi raha ka woh agar
ghar se bahar niklay gi tu kia woh ba izzat ya baghair torcher hoye apnay ghar
wapis asakay gi?
Oper bayan kiye gaye waqiyat or batain woh hain jin k hum
adi ho chukay hain kion k ye batain kahin na kahin humari roz marra zindagi ka
hissa ban chuki hain.Yani k agar tv per kisi aurat k sath hoi ziadati ya
badtamezi ki khabar ati hai tu hum usay suntay hain dekhaty hain us pe tabsara
krtay hain or bhool jatay hain.Likin
mera sochna ye hai k har azziat ka shikar sirf aurat hi kion hoti hai? Kia
ALLAH tabarak o talah ne is liye hawa ki beti ko paida kia tha k unhay har
mumkin tariqay se aziat pohunchai jaye, istimal kia jaye, nuqsan pohunchaya
jaye or unhay is cheez ka ahsas dilaya jaye k ye hai tumhara maqam is mashray
mein.
Aap, Mein or is blog
ko parhnay wali har aurat kabhi na kabhi kahin na kahin aese aziat nak lamhoun
ka shikar zaror hoi ho gi ya ho rahi hai.
Akhir mein
mera sawal ye hai k, “Aurat ko is ka maqam kon dilaye ga? Koi dilaye gab hi ya
nahi?
Very well written & a thought provking issue. I think all of us should read this & think about it.....
ReplyDeletevery thoroughly observed n written aurat ka ye maqam sirf hamary mashry m hi nh blky hr mashry m yehi ha bs fark srf itna ha k wahan noiyat or ha or yahan or
ReplyDeleteor insaf k liye agr mardon ka intezar kia to kbi b mumkin nh ho ga apny haq k liye aurat ko khud hi uthna parhy ga
or rahi bte bus stop n etc ki to aurat ko apny ap ko itna sakht bnany ki zarorat ha k koi us ki trf ankh b na utha k dekh skey
in the end again... appreciable effort keep writing
bht khoob amal phr kr bht acha laga ........ or sb ko chaye k ya phryen tek hm kuch kren apnye haq k laye
ReplyDelete