BUS RE BUS
Daftar jatay houay bus, daftar se attay houay bus, school jana hai tu bus wapis ana hai tu bus, university jana hai tu bus university se ana hai tu bus, sair ki jana hai tu bus gharz ye k youn mehsooh hota hai k :
HAR SUBAH BUS HAR SHAAM BUS
JEEWAN KA HAI ANJAM BUS
Karachi mai youn tu tarah tarah ki busay pai jati hain. Cheekti hoi busay, dandanati hoi busay, dorti hoi busay laykin ziyada tar ehamiat ki hamil hai adam khoor busay (jo insan ki jaan lay lay ti hai).
Adam khoor busay asi busay hoti hai jin k tayro(wheel) ko insani khoon ka maza aur chaska par gaya ho. In busay mai safar karnay walay Adam ki aulad ko is tarah kuchla jata hai k bohat se bachay yateem ho jatay hai, bohat se suhag lut jatay hai, behano k bhai chalay jatay hai. Asi adam khoor buso ki raftar mai kami mumkin nahi wo is liya q k in buso ko chala ne walay driver hazrat apni zimadario ko bhool bethay hai wo zaroorat se ziyada logo ko busoy mai chara kar asi driving kartay hai jis se insani janoo ko khatray mai daal daytay hain. In hay chaiya k wo seat k ihisab se musafiron ko bus mai charhain aur ahaista ahaista bus chalayn aur khas kar k qanoon k usoolon ko pasdari karayn asa karnay aur in sub per amal karnay se koi hadsa ronuma honay se bach sakta hai.
Qabal is k bus bus kartay houay hamari bus ho jay q k zindagi tu fani hai, na janay kon si bus k sath bus ho jaye ya kon si bus talay aa kar bus ho jaye. Behatar yeahi hai k hum bhi bus kardayen busay tu chalti rahayn gi, Safar karnay walay safar kartay rehayn gay aur yeh qissa bus honay mai nahi ayyga aur liaygia! Hamari bus bhi aa gai……….
No comments:
Post a Comment